Friday 7 July 2017

ism e azam ka tarika

 ism e azam ka tarika | Ism e Zaat ALLAH Ka Amal :


Mery mutabiq ye amal QURAN E PAAK ka sab sy ziada taqatwar aur afzal tareen amal hai aur me aap ko ism e azam ka tariqa  jis k muqably mai koi aura mal nahin hai. Ye amal ism zati ALLAH’O aur ye ism zaati aatishi isam hai aur is baat sy ye zahir ho jata hai k yaqeeni tor par ye ism jalaali ha aur is k asaraat bi nihayat sakht aur garam qisam k hain. Is amal ko nihayat soch samjh kar shuru karna chahiye.



Tarkiqa e Amal ism e azam:


Is amal ko naye chaand ki tareekh aik ta chodah 1 – 14 k jumerat ko baroz jumeraat namaz e isha k baad Karen. Tareqa e kaar ye hai k kisi baray safaid rang k kaghaz par ism zaati ALLAH’O kisi moti qalam k zariye nihayat he khoobsoorat aur dilkash andaaz mai sunehri rang mai likhen.

  • ya likhwa len. Is kaam k liye ba wazu hona laazmi hai. Ism Mubarak jab likh liya jaye to tayar ho jany ki surat mai is ism Mubarak ko kam az kam aik foot ki doori par khana e kaaba ki taraf rukh kar k dewaar par laga diya jaye. Kamray mai khushboo k liye bohat sari agar battiyan bhi jala den. Is amal ko karny k liye safaid rang ka libaas pehnen aur safayi ka ehtamam karty hue libaas par itr bhi laga len.

  • Jo talib e ilm is aml ko karny k khwahish mand hain wo is amal ko apna pura tasawur o khayal aur irada pukhta karty hue is ism Mubarak ko nihayat he ghor k sath sath shoq aur lagan k sath tanhayi k alam mai dekhen aur mushahida Karen. Is ism Mubarak ko parhny ka taeeqa kuch is tarha hai . jab ani saans ko naak sy andar ki taraf ly kar jaen gy to is doran ap dil mai sirf ALLAH parhen gy aur jab saans munh k zariye sy bahar ki taraf nikalen gy to us waqt HOO kahen gy.

  •  Is he tareeqa e kaar par chalty hue ye ism mubrak geyarah so 1100 martaba parhen aur khayal is bat ka rahy k ye ism Mubarak sirf dil mai he parhna hai. Is amal ko karny k liye shuru aur ikhtitaam par iktalees iktalees 41 baar durood shareef ka wird laazmi Karen.


Amal ism e azam ka tariqa puura mukammal ho jany ki soorat mai ALLAH sy dua maangen. Ye bhi dhyan rahy k doran e amal ap ki nazren musalsal sirf ism e Mubarak par rahen aur sara dhyan bhi usi ar ho. Yahan wahan dekhna bilkul munaasib nahi ho ga.

 Aesa karny ki soorat mai amal k asar mai kami paida ho sakti hai. Ilaawa azeen aesa karny ki soorat mai amal mai nakaami bhi ho sakti hai. Amal ko parhty hue nihayat he dhyan rkhna chahiye aur ahtiyaat baratna bhi zaroori hai. Is amal ko har roz bila naagha Karen aur is ko har roz karny ki aadat daal len. Ap is amal ko jb har roz kart rahen gy to aap ko rohaani bulandiyan haasil hony lagen gi aur is k sath sath rohaani mushahidaat k bhi haamil ho jaen gy. Amal k doran amal karny waly par kayi sary rohaani asraat bhi barhty jaen gy aur dili sukoon  bhi hasil ho jaye ga.

Note : is baat ka bohat khaas khayal rkhna zaroori hai k amal k doran har raaz ko dil mai daba k rakhna hai aur kisi sy bhi us ka tazkira nahin karna chahy wo raaz zahiri ho baatni ho ya rohaani ho. Kisi bhi baat ko kisi aur shakhs k samny na kren na he kisi sy us sab k baaray mai tazkira Karen. Han ye hai k har baa tap apny rohani ustaad ya murshad k saath kar sakty hain.

Sharaayit :

Is amal ko karny k liye chand sharaait ka khayal rakhna nihayat laazmi hai aur wo shaarayit mandirja zail hain :


1-   Namaz ki paanch 5 waqt paabandi har roz ki jaye.


2-   Safaayi ka khaas khayal rkha jaye aur har waqt safayi rakhen.


3-   Amal k beech mai neend kam sy kam len.


4-   Bolna kam Karen sirf zarorat ki baat Karen.


5-   Khaana peena sirf hasb e zaroorat rakhen.


6-   Faraghat k waqt mai subha sham rat job hi waqt ho durood shareef ka wird Karen.


7-   Nazar , zaaban , ghusssa aur haath paon qaabu mai rakhty hue kisi doosry musalman ko is sab sy nuqsaan na pohnchaen.

Ism e azam ke liye zaroore hadiyat


Ye aik amal ap ko saari umar faida pohnchata rahy ga is k baad kisi aura mal ko akarny ki zaroorat nahin paish aye gi. Kisi bhi maqsad k liye is amal ko kiya jaye ga wo jaiz hona zaroori hai. 

  • Ism e azam ka triqa likh kar mandirja zail mai sail ka ism darj karny k baad aur us ka kaam ya maqsad darj karny k baad us ka aik taweez bana kar matloob ko dy diya jaye to ALLAH ki marzi sy us ka maqsad zaroor poora ho jaye ga. Ap ki duaen itni  pir asar aur qubooliyat k darjy ko pohnch jayen gi k ap jab bhi kisi ko dua den gy to us ko bohat faida pohnchy ga.


  • Is s yap k alfaaz mai itni taseer paidho jaye gi k agar ap kisi k liye bhi bad dua kahen gy to us ki zindsgi barbad ho jaye gi . agar ap kisi bhi aesy amal ya baat ka taswur Karen gy paanch mint 5 tak to us ko amli jaama mil jaye ga aur us ka mukammal hal bhi samny aa jaye ga. 


Is amal kit seer itni ziada hai aur ye itna taqatwar hai k is ki waja sy insane jo chahy ussy sirf sochy ga aur ho jaye ga jaahan jana chahy jo chahy wo sirf sochny  ki daer ho gi aur ho jaye ga.

Is mujrab amal ki madad sy taskheer e khalaq bhi paaya ja sakta hai. Ye amal is qadar qabil e zikr aur tareef ha k agar koi is kam k lye apni sari hayat sarf kar dy to wo bhi bohat kam ho gi. Is k liye zehn mai sirf jaaiz kam aur maqsad rakhan chahiye jo chahen gy sirf  sochny sy he ho jaye ga.

Note : is amal ism e azam ka triqa ko job hi karay us sy aik guzzarish hai k wo hamesha mery aur mery murshid pak k liye zaroor dua kary.

3 comments:

  1. please tell me ISM E AZAM according to my name

    ReplyDelete
  2. Ism ALLAH ko maximum kitna baar parh sakte hain

    ReplyDelete
  3. Tell me reference ??? And sure k Nbi hazrat Muhammad (SAwW) aisa kiya sabt hai??

    ReplyDelete