Showing posts with label kala jadoo tone ka ilaj. Show all posts
Showing posts with label kala jadoo tone ka ilaj. Show all posts

Saturday, 6 May 2017

kala jadu

kala jadu kase kare| kala jadu kaltariqa 


Ag kal buhat se log ye pochte han ke kala jadu kase kare?Jadogar muashary mein har qisam ki gandgi or fasad philata he or us se lutaf andooz hota he, wo kisi bhi makhlooq ki aeza rasani ya intahai ghatia burai ka irtakab karny mein taradud nahi karta. 

Isitarah kheeti baari or chopaion ko halak o barbad kar dena, aag laga dena, tijarati samano ko talaf kar dena, mian bivi k darmian tafreeq dal dena, unhain bhanaj bana dena, jinsi taqat ko kamzor karny ya siray se khatam kar deny k liy makhsos marham tyar karna, hamla oorat ka hamal zaaia kar dena, logo ko jannon or herangi mein mubtala kardena, piyar-o-muhabat ya bughaza-o-nafrat k liy khas powder tyar karna or shadi se pehly mangani ya aqad e nikah ko mansookh kara dena jadogar k pasandeda amaal mein shamil he.


Jadogar isi andaz se jaraseem phelata rehta he jo moashiry ki hadion mein lag kar isy kamzor kardety hen. Or agar in jaraseem ka khatama na kia jay to moashiry ka jisam kamzor hojata he, yahi waja he k shariat e islamia ne jadogar k bary mein sakhat moqaf ikhtiar kia he. Chunacha rajah qoal k mutabiq jadogar tauba karway baghair garden zani or mubah ul dam he.

 Allah Tallah ka irshad he:

“ Salman (A.S) ne to kufar nahi kia tha, bal k ye kufar shetanon ka tha, wo logo ko jado sikhaya karty thy or Babal mein Haroot Maroot, do farishton par jo utara gea tha, wo dono bhi kesi shakhas ko iswaqat tak nahi sikhaty thy jab tak ye na keh dein k hum to aik aazmaish hein tu kufar na kar.”
Agar ye kaha jay k jadogar se aap tauba q nahi karaty jab k muratad se tauba karai jati he? To iska jawab ye he k jadogar malkia k nazdeek zandeeq (Baedeen) k hukam mein he or zandeeq se tauba nahi karai jati.


kala jadu karne wale ka naam| jadu ka maloom karna



1.Jadogar apani zinagi mein or marny k baad bhi apna nafas or apni tumam malkiat yani maal-o-jaidad, gharbar or zuraiat shetaan k hathon farokhat kardy.


2.Is k pas anad-o-sarkashi, asrar or makrofarib ki aisi taqat ho jo isy shetani aqeedy se talny na dy, chahy is k liy isy intahai sakhat or kathan aziat-o-ahanat brdashat karni pady.


3.Wo itna byhaya, bysharam or byzameer ho k shafqat-o-rehmat, mehrbani or degar insani or shareef jazbat se bilkul aari ho.


4.Apny sardar ablees ya is k kisi cheely k khofnak shakal mein samny aany par ya koi muhlak hathiar ya moot ka phanda dekhny par is k opar ghabrahat tari na ho.


5.Iski madad karny mein agar ablees tal matool kary ya madad karny se inkar kardy to wo tang dil na ho bal k is madad k talab karny mein taqat bhar israr kary, or jab is se deen ya adab ya urf e aam ya insani qanoon k khilaf koi amal talab kia jay to iski tameel-o-tanfeez mein afsoos na kary or na hi malool khatir ho.

6.Wo apni taqat bhar jadogari k kam injam day, pabandi se is fun ka mutalia karta rahy or ye jadogari jin sheetani tariqoon, jashan or ijtamaat ka mutaliba kary, unki tanqeed kary, or un amal, jashan or ijtamaat k natija mein khud isay ya is k ilawa kisi or ko jo musibt o preshani lahiq ho uski parwa na kary, bal k in sheetani ijtamaat mein waqt e muqarara par hazir ho or mutayann ooqat mein unki tanfeez kary.


7.Wo fitari ya kasbi tor par har bhalai or har umada khaslat say mukamal jahil ho.


8.Wo sheetan ki qowat o taqat or uski muawan khabees o sharer rohon ki taqat ka pukhta itaqad rakhy.


9.Un k ehkam o awamar ka farmanbardar or un k qwaneen o sharait ka paband ho.


10.Wo tumam adeean o mazahab ka sakhat dushman ho, un par apna ghaiz o ghazab zahar kary.

11.Jnka istehza kary or tumam aasmani kitaboon se apni bra’at zahir kary, unhy phary or byhurmati kary. Wo har qisam k ikhlaqi juram , har maseat or burai k irtakab k liy tyar rahy, bal k fasaq o fajoor or abaheyat mein bilkul gharaq ho.


 12.Wo apny libas or tarz e zindagi se ghalazat or khasat e nafas ka namoona ho or apny liy paani or sabun k istamal ko hmesha k liy haram thehra lia ho.


 13.Ta k us k jisam, us k libas or uski rehaishgah se daimi tor par aisi napasandeda or sakhat badbu aay jo   us k sathioon k darmian uski pehchan ho.


 14.Wo apna ziada tar waqat ya mumkin ho to sara waqat- logo say alag thalag reh kar guzary, na to un se tamul kary na rawabat rakhy, siway un k halat k keh jab us se jadoo k kam injam deny or logon ko zarar puhnchany k liy un se rabata rakhny ka mutalaba kia jay.



kala Jadu karne wale ki saza|kala jadu in islam


Naiz jadogar ko qatal kardena khalifa Rashid Umar bin Khatab (R.A) ki sunat he. Chunacha Sunnan Abi Daud mein Bajala bin Abada se rawaiat he, wo bian karty hein k mein Ahnaf bin Qais k chacha Jaza bin Muawia ka katab tha, isi doran hmary pas Umar (R.A) ki wafat se aik sal pehly ye khat aya keh “ har jadogar ko qatal kar dia jay”.

Is rawait ki sanad sahih he.

Isitarah umul momineen Hafsa (R.A) se bhi jadogar ko qatal karna sabit he. Chunache Mauta Amam Malik mein Abdul Rehman bin Saad bin Zarara (R.A) se marvi he: unhain ye rawaiat puhnchi he k Nabi Kareem (SAW) ki zooja Mutahira Hazrat Hafsa (R.A) k oak loandi ne jadoo kar dia tha to unho ne usy qatal karwa dia. Usne un par kala jadu ki sazish tyar kit hi to unho ne hukam dia or usy qatal kar dia gea.

Jadogar ko qatal kar dena sahaba karam ki aik badi jamat ka mazhab he jin mein Umar bin Khatab, Usman bin Afan, Abdullah bin Umar, Um ul momeneen Hazrat Hafsa or Abu Moosa Ashari (R.A) shamil hein.Isitarah aaima mein se amam Abu Hanifa, amam Malik or aik rawaiat mein Amam Ahmad (R.A) bhi isi k qail hein.


kala jadu karne ka tariqa|Jadogar kaisy Jadoo karta he



kala Jadu karany wala khwah wo marad ho ya orat, jadogar k pas jata he or is se kesi par jadoo karny ki darkhwasat karta he, ya kesi aesy shakhas k pas jata he jis k jadogar hony ka guman nahi hota or is se apani ya apny kesi aziz ki bemari ka ilaj karny ka swal karta he. Is waqat jadogar is se is shakhas ka naam pochta he jis par jadoo karna maqsood hota he or uski maan ka nam bhi dariafat karta he, naiz matloob shakhas k baaz nishanat maslaan baal, nakhun, kapra ya photo talab karta he.

Swal ye he k jadogar q matloob shakhas ki maan ka nam dariafat karta he, is k baap ka nam dariafat nahin karta, jab k hona yehi chahiy tha? Iska jawab ye he k jadogar or is k saath mojod jinnat aasmani adian o sharaie k munkar hen, or inka istehza karty hen, jadoogar sharai aqad e nikah ko nahi manta. 




Isliy apny pas aany waly har shakhas ko wo –maazullah- zanna ki olaad (Harami) samjhta he, is k baad jadogar dono namo (matlooba shakhas or uski maan ka nam) k haroof ginta he, phir dekhta he ye naam matti se qareeb tar he to usy zameen k andar dafan kar deta he, ya paani se qareeb tar he to usy paani maslan kuwayain mein rakh deta he, jesa k Labaid bin aasim yahodi ne jab Rasool (SAW) par jadoo kia to aap k nam or aapki walida “ Aamina” k nam ka hisab lagany k bad dekha keh un dono namoon mein haraf “meem” or “alif” ka takrar he, lahaza ye nam “maa” yani pani se qareeb tar he chunache usne jadoo karda cheez “baer zarwan” mein rakh di.

1.Naam agar “maa” yani pani se qareeb tar he to jadogar usy kuwayain ya samandar mein dal deta he ya machali k opar likh deta he, or hawa se qareeb tar hota he to usy aam darakhat ya khajor k darakhat ya dewaar mein lataka deta he.


2. Is k baas jadogar khusbodar dhooni (agarbatti) sulgata he, q k jinnat is dhooni se ghaza hasil karty hein. 


3.Wazeh rahy k jadoo k har nau k liy ak makhsos qisam ki dhooni hoti he. Dhooni sulgany k sath hi jadoogar apna kufria o shirkia mantar parhna shoro karta he jis mein bary bary jinnon ki bharpoor tazeem o takreem hoti he, us k baad mantar likhta he.


4.Is mantar mein jadoogar ki taraf se jin k qabily k sardar k liy bandagi ka paegham or unki tazeem o takreem hoti he. 


5.Un se istaanat ki jati he or Allah Azwajal k kalam ki ahanat or byhurmati hoti he, isi asna mein jin jadoogar k samny apny mutalbaat rakhta he ta k wo zilat o khwari ki halat mein jadoo karwany waly tak puhnchay, maslaan.


6.Zaar ki mehfal mein hazir hona, ya kari shartoon wala janwar zibah karna, ya makhsos qisam ka khana khana, ya mutayyan mudat k liy logo se alehda ho kar tareek kamry mein band rehna, ye mantar agar jal jay ya kharab hojay ya zaia hojay to sehar zada shakhas ka mamla asaan hojata he.


7. Yehi waja he k is mantar ki hifazat k liy baaz jadogar isy peetal ki dibia mein rakh kar qalai kar dety hein jisy baaz log “hijab” kehty hen. 


8.Is k baad jadogar kisi jin ko is muham ko injam deny ka hukam deta he jo wo matlob shakhas k liy karna chahta he. Yani isy maraz mein mubtala kar dena, ya us k dil mein oham o khialat paida kardena, ya us mein or uski bivi mein judai paida karna waghaira, is jin ko “jadoo ka khadam” kaha jata he. 


9.kala jadou ka khadam jin” jadoo kiy gay shakhas k nishan ki mehak songh kar ya uski tasweer dekh kar usko pehchan leta he phir uska pecha karta he, yahan tak k uski halat dekh leta he.
10 Dekhny k bad agar usy Allah Tallah k ehkamat ka paband nahin pata to us k liy apni muham ka injam dena asan hojata he.


11. Chunache wo us par sawar hojata he ya us k dil mein aisy oham o khialat paida kar deta he jin se wo ghutan mehsos karny lagta he.

Kala jadu ka ilaj | kala jadu ka tor quran se


 Lekin agar jinnat usy ehkam e ilahi ka paband or rah e haq par gamzan pata he to us se dar jata he lekin pechy laga rehta he ta k kisi waqat usy Allah k zikar se ghafil ya halat e ghazab mein pa kar us k jisam mein dakhil hojay. Phir us k bad jadoogar us jadoo karda shakhas or jadoo k khadim jinnat k darmian aik wasta (jinnat) k zariay apny jadoo ki pairvi karta he jo us k liy rozana ki khabrain or nataij bian karta he or jado k khadim k pas jadogar k ehkam ly kar ata he.


 Ab jis shakhas par jadoo kia gea hota he agar wo mataqi or parhaizgar he, Quran or azkar o adeia ka virad karta he to jado k khadam jin ko badi mushaqat paish aati he. Or wo itana kamzor hojata he k baaz mamoli awaraz k ilawa kala jadu ka koi asar nahi hota, bal k khadam jin bhagny ki koshish karta he, or agar mutawasit jin usy sabar ki or sheetan k pas qurbat hasal karny ki nasihat na kary ya bhagny ki sorat mein usy qatal kar deny ki dhamki na dy to wo bhaag khara hoga. Lekin agar wo shakhas kamzor eman wala or Allah se kam taluq rakhny wala he to us k liy bari aafat he.

1.Qio k is sorat mein kala jadu us k badan mein saraiat kar k uski zindagi par mukamal tor par asarandaz hojata he, or uska jadogaroon k sath aik aesa lamatnahi moamla shoro hojata he jo uski zindagi ki aakhri saans tak jari reh sakta he. Is moqa par do tarah ka jadoo ikhtiar kia jata he.


2.Ya to jadoo mareez k jisam k andar gea hota he. Yani khany ki cheez mein khialaia gea hota he. Ya peeny ki cheez mein pilaya gea hota he. 


3.Ya atar mein songhaia gea hota he. Ya hath k musafeh k zariay jisam tak puhnchaya gea hota he. Ya phir jadoo mareez k jisam se bahir hota he, yani kahin dafan kia gea hota he, ya kisi muqam par latkaya gea hota he.



kala jadu spmptoms |Insaan par jadoo ka asar



Insan par jadoo ka asar do tarah se hosakta he: ya to jadoo ka asar dakhali hoga, yani mareez k jisam k andar iska asar hoga, or ya iska asar kharji hoga, jesy bahar se ya door se mareez k jisam par iski taseer ho, or wo us k andar ghutan or oham o khialat paida kardy, isitarah jadogar apna jadoo istamal karta he.

Isi se hum wo malomat akhaz karty hen jo dosry moalij k liy bhi mufeed hein or jadoo zada shakhas k liy bhi mufeed hein k bazat e khud wo apna ilaj kar saky.Jadoo se mutaliq mufeed maloomat:


  • Jadoo k ilaj ka sharai tareeqa hi sab se mufeed tariqa he, q k jadoo zada shakhas ka jadoo utrwany k liy kesi jadogar k pas jana jinno ki do tarfa larai ki mannind he or isi larai k natija par jadoo zada shakhas ka moamla moqof he.


  •  Kabi aesa bhi hota he k dono taraf k jinno k darmian is bat par itfaq hojata he k jadoo ka khadim jin aik mutayan mudat k liy nikal jay or dobara apni moham par loat aay, lekin Qurani ilaj k aagy na kesi jadogar ka bus chalta he na jin ka:
      “agar hum is Quran ko kisi pahar par utarty to tum dekhty k        khoaf e ilahi se wo pasat ho kar tukry tukry hojata”


  • Jadoo ki aik mutayan mudat hoti he, agar jadoo talaf kar dia jay to us mudat k bad wo byasar hojata he, yehi waja he k baaz jadogar apny jadoo ki pairvi or iski tajdeed karty rehty hen.
Is website ki akhari fasal mein mazkor subah o sham k azkar or musalman ki zindagi k mutaliq awarid degar azkar ki pabandi k saath hi mareez k liy makhsoos program (tariqa e ilaj) ki tameel mein darj zail faidy hein:


1.Jistarah jang mein imdad munqate kar di jati he isitarah jadogar or khadim jin k darmian wasita (jinnat) muqata hojata he.


2.Jadoo ka khadim jin kamzor ho kar ya to halak hojata he ya bhaag jata he.


3.Jadogar apny jadoo ki agar tajdeed karna chahy to us k liy mushkil ka samna karna parta he.


Kisi bhi jadoo k liy darj zail cheezon ka wojod zarori he:


4.Jadoogar, wo shakhas jis par jadoo kia jay, tilsam (jadoo), jadoo k makhsos maady, jadoo ka khadim jin, jadogar or jado karda shakhas k darmian wasita jin.


5.Baaz jadogar jadoo k khadim jin ki zuban bandh dety jiski waja se jadoo karda shakhas guftago nahi karskta, guzashita dino aik orat ka ilaj kia gea jo 6 mah tak isi qisam k jadoo ka shiakr thi or guftago nahi kar sakti thi.


6. Nafsiati hospital mein uska ilaj horha tha lekin halat mein sudhar nahi aya jis par us k shohar ne talaq bhi dy di, jadogar bhi us k ilaj se thak chuky thy lekin kitab Allah se uska sharai ilaj hoa or wo shafayab hogai.

kala jadu karna sikhna:



Isitarah jinno mein bhi jadogar hoty hein:Kabhi aesa bhi hota he k jadogar jisi jin par jadoo kar k usy jadoo karda insan k pas bhejta he, istarah wo jadoo jin or insaan dono se murakib hota he.
Piary bhai! aap in moaljeen se hoshiar rahein:

Lanti jadogar logo ko ye bawar karwaty hein k wo Quran Kareem k zariay ilaj karty hen. Wo dhoka bazi or heela gari se kam lety hoy kabhi kabhi ilaj karwany walon ki sama’at tak waqai chand Qurani aayat ki tilawat bhi puhncha dety hen, ya un aayat ko likh kar dy dety hen. Is silsala mein wo ibarat bari ajeeb o gharib he jo mujhy in jadogaroon k aik bary sarghana ki kitab k muqadama mein dekhny ka itfaq hoa. Jadogaroon ka ye ustaad jis ka nam Abdul fatah al taokhi he apni kitab “taskheer o sheiyateen fi wasal ul aashiqeen” k muqadma mein youn raqam traz he:

“Allah Tallah ki bargah se kamyabi or fozo falah ka talabgar Abdul Fatah bin Sayyad Muhammad al Taokhi al falki kehta he: ( Allah Tallah mujhy or mujh se pehly or baad mein aany waly sab logo ko muaf farma dy), ye kitab bohat azeem ul shan he, isy mein ne awaleen o aakhareen k ilam se jama kia he or iska nam “taskheer o sheiyateen fi wasal ul aashiqeen” rakha he.

Ye badbakhat, mulhad or zandeeq shakhas Allah Tallah se kamyabi or fozo falah talab karny k foran bad apnay maqsad ki taraf palat’ta he or logo ko kanwari larkion k dilon mein hal chal paida karny k liy iblees laeen se madad mangany k mukhtalif tariqy sikhata he. Chunache wo kufar or bydeeni ki hadood ko chony lagta he. Yahan tak k wo lanti insaan logo ko is amar par ubharta he k wo apni oorton se jama k waqat uzwe tanasul par Qurani aayat likha karen.

Allah azwajal ne Quran Pak mein sach farmaya he:

“wo jab bhi kisi ko jadoo ki taleem dety thy to pehly saaf tor par mutniba kar dety thy k dekh! Hum mehaz aik aazmaish hen tu kufar mein mubtala na ho”

kala jadu ki nishanian | jin se jadoogar pehchana jata he:



1.Aesa shakhas mareez ka naam or uski walida ka naam pochata he.


2. Wo mareez se kisi janwar ya prinday ko zibah karny ka mutaliba karta he. Kabi ye janwar aam hota he to kabhi mutayyan siffat ka hamil hota he. Wo mualij baaz oqat uska khoon mareez k jisam par malny ka mutaliba karta he.


3.Aesa mualij mareez ko ye hidaiyat karta he k wo aik khaas mudat tak logo se alag thalag aik andhery kamry mein qayam pazeer rahy or is doran chand makhsoos ghazaian or mushrobaat istamaal kary.


4.Wo chand kaghzat mareez k hawaly karta he or us se kehta he k wo in kaghazat ko jala dy ya un ki dhooni bna kar istamaal kary ya unhy apnay galy mein latka ly ya kisi khaas jaga dafan kar dy.


5.Har wo shakhas jo haroof ya adad likh kar dy ya 6,6 khano wali shaklein bna kar ya Allah ka kalam likh kar usko kat kat kar istamal karny ki talqeen kary wo jadogar he.


6. Har wo shakhas jo doran e ilaj samajh mein na aany waly kalmaat zaban se ada kary ya aarbi lughat k ilawa kisi dosri zuban k alfaz ada kary wo jadoogar he.

Ab jab k ye baat hmary ilam mein aa chuki he k jadoogar kafir he or uski saza islam mein ye he k uski garden mar di jay. Hum ye waziha karna chahein gy k hmari roshan shariat aik musalman ko jadogaroon k pas jany se sakhati se mana karti he.

Is post me kala jadu se mutalq tamam malomat information ke kala jadoo kia ha aur kaala jadu kase karte ha ke ilawa kala jaduu ki islam me kia saza ha aur kaala jaduu ka tareeqa in urdu balke kala jaadoo wale ke pechan aur sypmtoms detail me bata die gi han.Kaala jadu ka ilaj bhi quran o sunnah ki roshne me baian ker dia gia ha.Agar aap ka koi masla ha ya koi ilaj ke zaroorat ha tu hum se e-mail ya phone per contact karen.

Friday, 5 May 2017

kala jadoo karne ka tareeqa

kala jadoo karne ka tareeq aur islam :

kala jadu kia ha ? aur kala jadoo karne ka treeqa aur is ke bare be dlalial ye han Chunache kutab hadees mein Imran bi Hasain se Husan e sanad k sath marvi hadees he k Rasool (SAW) ne farmaya.

“wo shakhas hum me se nahi jo faal nikaly ya us k liy faal nikali jay, jo kahanat kary ya us k liy kahanat ki jay, ya jadoo kary ya uski kahtir kesi par jadoo kia jay. Jo shakhas kesi kahin k pas jay or uski baat ki tasdeeq kary to usne Muhammad (SAW) par nazal ki jany wali shariat ka inkar kia.”

Sahih Bukhari o Muslim mein Hazrat Abu Huraira(R.A) se rawait he K Rasool (SAW) ne farmaia;

“Saat tabah kun cheezoon se bach kar raho. Sahaba karam ne araz kia: Aay Allah k Rasool! Wo kon kon si cheezen hein? Aap ne farmaia.



  • Allah k sath shirak karna.
  • Jadoo sekhna ya karna.
  • Allah ki haram karda kesi jan ko nahaq tariqy se qatal karna.
  • Sood khana.
  • Yateem ka maal zulam se khana.
  • Medan e jang se bhaag jana.
  • Pak damin bholi bhali momin oorton par bad kirdari ka ilzam aaid karna. 


     

    kala jadoo karne ka tareeqa ke bare meNabi Kareem (SAW) ne ye bhi farmaia:


    Agar koi shakhis kesi kahin k paas aay or iski baton ki tasdeeq kar dy to wo is shariat se lataluq hogea jo Allah Tallah ne Muhammad (SAW) par nazil farmai he or jo koi kahin k paas aay, chahy uski baton ki tasdeeq nab hi kary to aisy shakhas ki namaz chalees (40) roz tak qabool nahi ki jati”.

    Mumkin he aik shakhas youn kahy mein kisi ko nuqsan
    puhnchany k liy jadoogar k paas nahin jata bal k mein to aony jadoo ka ilaj karwany or shafa hasil karny k liy jata hon, ya isitarah k deegar aazar paish kary to hum aisy shakhas se ye kahin gy:

    “tumhara haal is shakhas jesa he jo bemari ka ilaj bemari k zariay karwana chahy ya us shakhas ki tarah he jo dhoop se bachny k liy aag mein kod pady”.

    Bohat dafa aisa bhi hota he k jinnat jadogar k khilaf baghawat kardety hein or khud usy kai bemarion mein mubtala karny ka sabab ban jaty hein. In bemarion ka jadogar k paas koi ilaj nahi hota. Jinnat o shiyateen aksar ahwal mein jadogar ko musibat mein tanha chor dety hein, or uski madad ko nahi aaty. Farman e bari Tallah he:
    “ sheetan to insan k saath ain waqat par bywafai karny wala he”.

    Kai bar aisa hota he k jinnat jadogar se mutaliba karty hein k wo u
    k paas bagharz e ilaj aany wali khwateen se byhayyai ka irtakab kary ya un k nazuk muqamat par khoon k saath koi tehreer likhy.

    Buhat martaba aisa hota he k jadoo ka ulta asar jadoo karwan
    waly par hi hojata he. Kitni hi aisi khwateen hein jinhon ne jadoo k zariay apny shohar ki muhabat chahi or usy dosri shadi se rokna chaha magar shohar ne us jadoo k zair e asar khatoon ko talaq dy di. Farman e Bari Tallah he:


    “ buri chaaloon ka wabal un k karny waly par hi parta he”


    Kabhi aisa bhi hota he k mard or orat bilkul theek hoty hein magar
    jab ye us jadoogar k pas jaty hein to ye maal ainthany k liy un par kisi jin ko musalit kar deta he, jo unhain preshan karta he or ye
    majbor ho kar uski khidmat mein nazrany paish karty hein.


    black magic karne ka tarika:


    Jinnat kala jadu karne ka tareeqa jis me jinn o shiyateen bari kasrat se thaka deny waly preshan kun mutalbat karty hein. Kabi wo bari
    sakhat sharait k sath makhsos sifat ka hamil janwar, muragh ya kabotar talab karty hein ta k usy jinnat ki khusnodi k liy zibbah kia ja saky or uska khoon mareez k jisam par mala ja saky, ya phir wo ye mutaliba karty hein k mareez logon se alag thalag ho kar tareek kamry mein chalees ratoon tak moqayyam rahy, ya ye k.



    1.wo aik khas mudat tak pani k nazdeek na aay. Isitarah k mutalibat jin ki koi had nahi.


    2.wok arty rehty hein. Har ilaqy k jinnat ka mutaliba dosry ilaqy k jinnat se mukhtalif hoty hein. 


    3.Chunache Misar k aik medani ilaqy mein aik kunwan “ Abu Hasheema” k nam se mosom he. 


    4.Aisi khwateen jo olad ki talabgar hoti hen unhein jadogar Juma k roz nmaz e maghrib k bad is kunwain k pani mein dubki lgany k liy bhejty hen. 


    5.Ye aik byabad kunwan he jis mein bohat se jinnat dera daly rehty hein or orton k khufia aza ko mazy ly kar dekhty rehty hein. 


    6.Kabhi koi orat agar jin ko pasand ajay to wo us k badan mein dakhil hojata he is khatoon ka bechara shohar us kunwain par apni bivi ko ly jaty waqat is haqiqat ko bhol jata he k olad ata karny ka ikhtiar to Allah Azwajal ne apny pas rakha hoa he. Irshad e Ilahi he:


    “wo jisy chahita he baiteean ata karta he or jisy chahta he bety anait fermata he, jisy chahta he larky or larkian mila jula kar deta he or jisy chahy bhanj kar deta he, wo sab kuch janta he or har cheez par qadir he.”




    kala jadoo karne ka tareeqa me Jinnat o shiyateen apny ulty seedhe

    mutalbat k zariay logo ko thaka dety or preshan kar dety hein.

    Allah Rab ul Izzat ne apni kitab e muqadas mein sach farmaya he:

    “ Insanoo mein se kuch log jinnat ki panah talab kia karty thy,

    magar is k natejy mein jinnat ne panah mangny waloon ko khoof or
    preshani mein ziada hi kar dia”

    Sheikh Hafiz Hakmi (R.A) kehty hein:

    • Kisi jadoo zada shakhas ka liaj isitarah k jadoo se karwana haram he, isliy k ye aik jadogar se ta’awan ki aik sorat he or ye us k najaiz kam ko tasleem karny wali bat he. Naiz ye mukhtalif tareeqon se sheetan ki qurbat hasil karny ki koshish he ta k wo jadoo zada shakhas k jadoo ko zail kar dy”

    • Imam Hasan Basri (R.A) kehty hein:Chunke aam tor par jado ka ilaj jadogar hi karty hein lahaza mojoda dor mein jab k koi talwar jadogar k sad e bab k liy nahi uthati , aap dekhein gy k bohat se badkirdar jadogar apny pasandeda ya napasndeda logo par jan bojh kar jadoo kar dety hein ta k wo majbor ho kar jadoo k ilaj k liy inhi jadogaroon se rajoo karen. Is tarah se ye log dosron ka maal najaiz tareqy se khaty hein or un k maal or Deen par musalit hojaty hein”.

    In tumam guzarishat k bad hum umat e toheed, umat e Quran, 

    umat e Muhammad (SAW) k sahih ul aqeda hazrat ko nida dety 

    hein or araz karty hein k jadoogar kafir he or uska amal kufar he. 

    Wo apni jan k liy bhi nafa nuqsan or moot o hayyat ya dobara 

    zindagi ka ikhtiar nahin rakhta. Na hi wo ghaib janta he. Wo jinnat 

    jo jadogaroon ki khidmat karty hein kafir o sarkish jinnat hein. Q k 

    un k momneen to insanoo ki tarah momneen hein, wo apnay liy 

    taskheer or mabodiat ko pasand nhi karty. Izat dar shakhas ghatia 

    cheezon se taskheer hota hi nahi.

    Aay Umat e Quran! Agar aap jadogar jo kala jadu  kase kare

    halat pe ghor farmain to aap dekhain gy k ye log mareezon se 

    chand tikay batornay ki khatir darbadar horahy hein. Aisi sorat 

    mein ye log aap mein se kisi ko dolat mand kesy bna sakty hein. 

    To kia he koi nasihat pakrany wala?!


    sifli ilm karne ka tarika

    sifli Jadoo darasal faraib e nazar ka aik lamatnahi jal he jis mein is 

    qadar kashash paida kar di gai he k log ye samjhty hein k duniavi 

    koi bhi kam karwany ka asan rasta yehi he. 

    Or is baat ko parwan charhany mein aj k dor k nam nihad mulaon, 

    peeron, faqeeron or safli ilam waly hein, jin k pas ilam to baray 

    nam hota he lekin awam ko btwaqof banay ka fun or dhang unhein 

    bakhobi ata he, jo masiway moashiry mein tabahi o barbadi 


    phailany, badsakoni, bychaini, or nafrat phelany ka kam zar l

    lalich mein injam dety hein, or jo koi un k jal mien aik dafa phans 

    jata he to phir us se niklny ka nam nahi leta. 






    Ziada tar jahil, aamil wo hein is ilam k asrar o ramoz sezara barabar bhi laga nahi khaty lekin apni braai nit na’ay karnamo k tehat jatlaty rehty hein ya phir bybuniad or ulty seedhy alfazat k taweez dhagy waghaira bna kar awam ko loatny ka wateera ikhtiar kiy hoy hein.

    Awal to jado aik aisa fun he jo kisi bhi ba amal, parhy likhy insan bilkhasos umati e Rasool (SAW) ko ziaba nahi deta, q k is se sab se pehli zad musalman k emaan par parti he or wo rah e haq se bhatak kar gumrahi or zalalat mein par jata he. Phir ye k jadoo bazat e khud fana or nuqsan ka amal he, is se burai ki tawaqo to ki ja sakti he, kisi achai ki nahi ki ja sakti. 


    kala jadoo kakne ka tareeqa aur is ki haqeeqat:

    Aksar hmary haan ye mashhor he k jab Khuda k Rasool(SAW) jadoo se (Maa’az ul Allah) nahi bach saky. To hum kis mein shumar hein. Isi tarah dili tor par jadoo ko apnay opar moheet kar lia jata he. 

    Or bilawaja har baat ko jadoo se tabeer kia jata he. Lekin koi bhi is bat ka adrak nahi karta k is mamly mein kala jadoo karne ka treeaa haqiqat ahwal kia he? Or ye k iska siaq o sbaq kia he. Siaq o sbaq ye he k arab moashiry mein islam se paishtar jadoo is qadar taraqi kar chukka tha or logo k rozmara k mamolat mein rach bas chukka tha k Hazoor Sarwar e Kainat ki aamd o baasat or moajzat ne jadogaroon ki jadogari ko maat karna shoro kar dia tha.

    •  Or un k jhoot ka poal or unki qadar afzai mein roz afzon kami hoti jarhai thi, chunke Hazoor (SAW) ki baasat se qabal yahodion ka fun e jadogari mein tooti bolta tha or wo jo kehty log by choon charan in ki bat ko haq tasleem karty thy.

    • aisy mein islam aik haqiqat ban kar ubhra or iski waja se un yahodion ka karobar e hayat byhad mutasir hoa. Or pory moashiry mein musalman din badin phelny or phalny pholny lagy. Jis se unko byhad zehni sadma puhncha. 

    • Unho ne Hazoor Sarwar ekainat k moajzat e amal ko jadogari se mansoob kia. Ta k (maa’az ul Allah) log aap se badzan hojain or Ap (SAW) ki taleemat phelny na paen. Or is tarah tableegh e islam ka kam ruk jay.

    Aisy mein Allah ka hukam e aazmaish aan puhncha jis par aap ne sir tasleem kham kardia. Or yahodion ko aap par kala jado karny ka moqa mil gea.

     Or istarah aap (SAW) kisi had tak bemaar hogay . barawaiat Hazrat Aisha (R.A) iz (bukhari o muslim) banu Zareeq k naami garami jadoogar Lubaid bi Asam ne Aap (SAW) par jadoo kar dia. Aap (SAW) ko youn mehsoos hota k Aap (SAW) kuch kar rahy hein halan k aisi koi baat na hoti. 

    Aik din Aap (SAW) ne apny rab se kai martaba dua mangi. Phir Hazrat Aisha (R.A) se farmaya aay Aisha kia tum janti ho k mene Allah se jis mamly mein dua mangi he usne meri dua ko qabool kar lia he. 

    Mery pas do aadmi (farishty) aay hen. Aik mery sarhany betha dosra painti. Or inho ne aapis mein guftago karty hoy ye kaha k in par jado kia gea he, painti waly k asrar par sarhany waly ne kaha k in par Lubaid nin Asam ne jadoo kia he ta k islam ki tableegh ka amal ruk jay. Usne phir istafsar kia k kis cheez mein? Dosary ne kaha khanghi k balloon or khajoor k khokhly shagofy mein. Usne kaha k ye kahan hein? Usne jawab dia k ze arwan k kunwain mein .

     Aap (SAW) Hazrat Abu Bakar Sadeeq(R.A) or dosary ashab ko ly kar us kunwain k pas gay or usko dekha. Aap ne farmaya ay Aisha! Is kunwain ka pani aisa maloom hota he k is mein mehndi ka aameza ho. Us khajor ka darkhat aisy lagta tha goia sheetano k sir hon. Hazrat Aisha(R.A) kehti hein k mene kha: Aap (SAW) ne isko ( baal or khajoor k shagofy ko jis pe jadoo kia gea tha) q nhi jala dala.

    • Aap (SAW) ne farmaya “nahi, mujy to Allah Tallah ne shafa dy di mein ne munasib nahi samja k logo ko fitno mein mubtala kardon isliy isko dafan karwa dia” Baaz rawaiat k mutabiq Aap (SAW) us jadoogar k pas gay or pocha kia tum ne muj par jadoo kia tha to usne haan mein jwab dia. 

    • Is par Aap (SAW) ne farmaia “agar mein tum mein se kesi par jadoo karon to kia tum karwa lo gy?” usne kha “ jo aisa kary ga hum uska kia ho jadoo wapis usi par palat dein gy, is par Aap (SAW) ne farmaia “ tumhari nazar me jadoogar, shoobady baaz ya mardan ghaib mein se hoon lekin mein ne aisa kuch bhi nahi kia jis se tumhara jadoo tum par wapis palat jay or tumhy nuqsan bhi puhnchy, halan k tum ne mery opar jadoo k zariay mujy nuqsan puhnchaya lekin meri taraf se koi bhi aisa kam nahi hoa. Ab bhi tum mujy paighamber e haq na mano to tumhari marzi he, or Aap (SAW) wapis tashreef ly aay.


      Agar banazr e ghaiar is waqia par nigah dali jay to ye haqiqat samny aati he k Razay elahi k tehat Hazor Sarwar e Kainat (SAW) ko rah e haq se baaz rakhny k liy ye juram Lubaid bin Asam se sarzad hoa. 

      Wagrna dunia ki koi taqat Allah k piary Rasool or Mehboob (SAW) par kisi bhi tarah ka jadoo, tona, totka nahi aazma sakti he, or na hi siry se kainat mein paida hoi he.

      Q k ye naam ak aisa naam kainat mein he jis k tufail se paighambroon or nabioon ki tauba na siraf qabool hoi he bal k jis se kainat k har maraz mein shafay kamla milti he or jadoo tony apni haqiqat e ehwal kho dety hein.

       Aasaib or jinnat bhag jaty hein. Sheetan Iblees jis se panah mangta he or gumrahi o zilat apny hi samandar mein gharaq ho kar maadom hojati he. 



      Is baba me kala jadu karne ka tareeqa sifli iml aur black magic ka tareeqa aur kala jadoo ke ilaj ka tareeqa sab tafseel se bata dia gia ha.


      Wednesday, 3 May 2017

      kala jadu ka ilaj

      Kala Jadu ka tor | Jadoo ka ilaj | jadoo tone ka tor:


      kala jadu ka ilaj ye hae k aap is k waqya hony sy pehly hee is sy bachao kee tadabeer ahtyar kry . agar wo habis jadoogr apnee jaan aur apna iman shytan laeen ky haa frohat kr chuka hae,apny mzmoom maqasid k husool k liy shytan sy madad talab krta hae.to hamary liy bee shariat ny wazy kia hae .

       Aik bnda momin kis trha apnee jaan aur apny ahlo ayyal ko shytanee hathkndo sy mehfooz rkh skta hae- chunachy aik muslman ko cahiy k wo jadoo aur jadoogro k shr sy bchny k liy drg zail treeky ahtyar kry.




      kala jaadu ka tor quran se(cure by quran)



      1.eman k zariy apny appko mzboot krnamusalmaan pr wajib hae. k wo hud ko qavi grdany aur apnee tauheed ko allah k liy khalis kr ly-jb wo aisa kry ga to us k iman ko tqwiat  mily gee.


      2.Aur is k dil sy masawi allah ka khauf door ho jay ga-ye aqeeda us k dil my rasyh ho jay ga k nafa o nuqsan akyly allah k hath myhae-aik musalmaan ko ye baat zyhan nasheen krnee cahiy.


      3. jadoo wagaira k ye tamam zaraay hawaoo kee hrkaat kee manind hae- in sub ka control in k khliq wa malikk hath my hae- chunachy ye kisee ko allah kee mrzee k bagair nafa o nuqsan nh puhncha skty.


      4.allah subhana o tala ka jadoo k bary my frmaan hae;  won kisee ko bee azny ilahi k bagair is k zariy nuqsan nh puhncha skty.


       '' allah agar tumhy koee tkleef puhnchay to is k siwa koee is ko door krny wala nh aur agar wo tumhy khair puhnchana cahy to is k fazal ko hatany wala bee koee nh''- (AL-QURAN)


      5.chunachy jo koee allah ka khalis bnda ho ga rahto museebat my allah ka haq ada krny wala ho ga aur saree hashiat aur khuf allah hee k liy khas rkhny wala ho ga to is pr ye qoly illahi sadir aay ga.  '' kya allah tala apny bndo k liy kafee nh hae''.


      6. bnda jb kamil abodiat ka drja paa lyta hae to is k sath issy allah kee kamil hamayt khasil hotee hae- aisy logo pr phir shytan glba nh pa skta -irshdy baree tala hae; myry bndo pr tujhy koee glba khsil na ho sky ga''.


      7 Aisa insan qaviul iman hota hae aur allah tala kee hifazat panah aur nusrat k sabab shytanee assrat sy mehfooz rehta hae-is pr jadoo wagaira k asraat shazo nadir hee hoty hae- jadoogaro ka jadoo sirf kmzoor nafoos pr hee assar andaz hota ha.


      8. subhoo shaam k azkaar kee pabandee'' subho aur shaam k azkaar kee pabandee krna jadoo sy bchny ka sub sy bara zariya hae.


      9. ye azkaar jadoo ka assar waqya hony sy pehly hee is ko rok dyty hae-aur is ka assrat sy insan ka bachao krty hae-aur is k shr ko dafa krty hae-aur agar jadoo waqya ho chuka ho to ye azkaar is ka ilaj bn jaty hae-allama ibny alqaim rehmallah  frmaty hae.


       10.jadoo ka mufeed treen ilaj azkary illahia hae ye azkaar zatee tor pr mufeed hae.chunk arwah habeesa ky assrat ghatya nueeat k hoty hae.


      kala jadu ka tor dua wazifa se


      lyhaza in k assrat ka azala issee cheez sy ho skta hae jo tseer my in k braks ho aur in kamuqabla kr sky-jaisa k msnoon ayyat , aur duaay hae jo in bdrooho k assrat ko zaayl kr dytee hae-in k kprhny wala jis qadar qaviul imman aur mzboot ho ga issee qadar in my jinnat wa aasyb k assrat ko door krny kee salahiat ziada   ho   gee'.

      ye muamla do faujo kee jmg jaisa hae-in my sy hr aik ky pass apna saman jang aur hathyar wagaira hoty hae-chunachy dono my sy jo aik dosry pr galib aa jay ga hukum us ka hee chaly ga-jb bnda allah sy dilli taluq rkhta ho aur wo is kee yaad sy mamoor ho aur wo apny rb kee taraf rujoo krny wala ho-zuban pr duaoo ,

      azkaar aur tauzaat ka vird rkhny wala ho aur is muamly my is ka di is kee zabzn sy hum ahang ho to ye azeem treen asbab haejo insan tk jadoo kay assrat puhnchny my rukawat bnty hae-blky agar jadoo ka assar mujood ho to ye cheezay is ka azeem treen ilaj hae.

      jadoogr ye baat achi trha janty hae k un kee hrkaat ka assar kmzor aqeedy k logo pr baree jldee assar krta hae-yahee waja hae k jadoo ka assar sirf khawateen aur bacho aur jahil awam pr ziada hota hae-neez jo log deen tuwakkal aur tuheed my kmzor hoty hae-aur dua ,azkaar msnoon tauzaat sy mehroom rehty hae-in pr bee jadoo ka assarziada hota hae.




      kala jadu ka tor in hindi:

      Hindustan be bare bare jadoger han aur jadoo ki tareekh bhi buhat he qadeem ha jhan per deota aur devi ko bhent de ker kush kia jata ja aur un se kam lie jate han jis ke lie un ke name per qurbani de jati ha phol aur charhawe chrhai jate han aur pher un se amil baba apne panpasand kam leta ha .

      Ab masla ye ata ha ke buhat se log chati han ke un ko kala jadoo ka asal tor hindi me mile magar afsos ke log sirf bakwas likhte han aur hindi me jadu tone ke tor se nawaqif han.aye me app ko btata hon ke is amaliyat ko hindi me kis thara se kerna ha.

      step by step procedure:

      1.ek khale kamra ho jhan amil ke sewa ya khud mareez agar apne liye amal ker raha ha koi na ho.


      2. mati se qabar ki thara ek choki lep keren jis me mati gober aur gai mata ka dhood istamal ho pher is ko sokhne den aur choki tayar keren.


      3.jab choki tayar ho ji to ek pathar samne ke taraf laga den aur is per rooz sindhor aur tilo ke tail ke malish keren aur he ho ge hunoman dada ki choke.


      4.pher is per beth ker rooz ye mantra 108 bar 41 din tak rooz phere aur waqat aur gha ek ho us ke baad.


      5.aamil me atni taqat aa gi ge ke wo bare aram se kisi bhi thara ke kala ilm ki kaat ker sakta ka.



      kala jadu ke tor ka mantra hindi me (jo phera jie ga pooja)

      ""ohum guru jee numhu jeete hunoman kha gi the kilash perbat gi the.kilash perbat se kia liye .swa 
      man ki zanjeer liye ,ayse janjeer ka kia kero ge dayan bandhon daken bandhon marha bandhon     masan bandhon ghagre ka gher bandho chare pala pher bandho .jo mere badhai na badhe to hunoman ki agg na phure suput sancha pind kancha phoro manter hunoman ke wacha""

      is mantra ko 108 bar fix time aur gha rakh ker uper wale amal me istimal me laye.


      kala jadoo ka ilaj taweez se (cure by taweezat)

      aag se phele muslim scholar kala jadu ka tor aur ilaj taweez se bhi kia kerte the ,ye taweez roohani yani noori hota ha aur satan aur jinn is se buhat door bagte han ye taweez mere sene ka ek raaz tha jo aaj aap ko babta hon ke is taweez ko kis thara se istamal kia jata ha aur is se jadoo ka autar kis thara se hota ha.


      1.taweez ko saffron aur gulab yani rose water se sahai bana ker likhe .
      2.taveez ko likhne ke baad uood hindi le ker is tawiz be band ker le.
      3.pher mareez ko ulta leta de aue neche ke taraf se is ko naak ke taraf se dhoni de.
      4.jab naaq aur ankho se pani ane lage mazeed 30 min dhooni jari rake.
      5.is amal ko kerne se her thara ka shareer jin shayteen us ke under se nikal ker bagh ji ga.


      Is amal se her thara ke zabardast kala ilm aur jadoo kat ki ja sakti ha.taweez is in image below:



      kala jadoo ka tor ka taweez hindi me


      buhat se log ayse hindi ke taweez ki talash me rehte han jis se ba asane wo jadu tone ka tor aur ilaj ker saken magar ye nayab cheezen kitabon me khan milte han aye hum aap ko btate han ke hindi me is se ilaj kese kerte han :

      1.Is ilaj taweez hindi ko kali murge ke khoon se lakhe.
      2.likhne ke liye kabooter ka per istamal kere.
      3.din mangal ka ho yani somar ki raat ho to bheter.
      4.21 addad amliyati naqush tayar kere aur pani barash ka ho.
      5.nuqoosh ko bila naga istimal kerna ha naga nai kerna.
      6.pani me thora sa sandal ka araq bhi shamal ker len.

      tawiz tor is given in image below:



      kala jadu ka ilaj aur kala jadoo ka tor ke tamam types aur tareeqa details me pure thara step by step    guide mukamal biyan ker diya gia ha.