Saturday, 6 May 2017

kala jadu

kala jadu kase kare| kala jadu kaltariqa 


Ag kal buhat se log ye pochte han ke kala jadu kase kare?Jadogar muashary mein har qisam ki gandgi or fasad philata he or us se lutaf andooz hota he, wo kisi bhi makhlooq ki aeza rasani ya intahai ghatia burai ka irtakab karny mein taradud nahi karta. 

Isitarah kheeti baari or chopaion ko halak o barbad kar dena, aag laga dena, tijarati samano ko talaf kar dena, mian bivi k darmian tafreeq dal dena, unhain bhanaj bana dena, jinsi taqat ko kamzor karny ya siray se khatam kar deny k liy makhsos marham tyar karna, hamla oorat ka hamal zaaia kar dena, logo ko jannon or herangi mein mubtala kardena, piyar-o-muhabat ya bughaza-o-nafrat k liy khas powder tyar karna or shadi se pehly mangani ya aqad e nikah ko mansookh kara dena jadogar k pasandeda amaal mein shamil he.


Jadogar isi andaz se jaraseem phelata rehta he jo moashiry ki hadion mein lag kar isy kamzor kardety hen. Or agar in jaraseem ka khatama na kia jay to moashiry ka jisam kamzor hojata he, yahi waja he k shariat e islamia ne jadogar k bary mein sakhat moqaf ikhtiar kia he. Chunacha rajah qoal k mutabiq jadogar tauba karway baghair garden zani or mubah ul dam he.

 Allah Tallah ka irshad he:

“ Salman (A.S) ne to kufar nahi kia tha, bal k ye kufar shetanon ka tha, wo logo ko jado sikhaya karty thy or Babal mein Haroot Maroot, do farishton par jo utara gea tha, wo dono bhi kesi shakhas ko iswaqat tak nahi sikhaty thy jab tak ye na keh dein k hum to aik aazmaish hein tu kufar na kar.”
Agar ye kaha jay k jadogar se aap tauba q nahi karaty jab k muratad se tauba karai jati he? To iska jawab ye he k jadogar malkia k nazdeek zandeeq (Baedeen) k hukam mein he or zandeeq se tauba nahi karai jati.


kala jadu karne wale ka naam| jadu ka maloom karna



1.Jadogar apani zinagi mein or marny k baad bhi apna nafas or apni tumam malkiat yani maal-o-jaidad, gharbar or zuraiat shetaan k hathon farokhat kardy.


2.Is k pas anad-o-sarkashi, asrar or makrofarib ki aisi taqat ho jo isy shetani aqeedy se talny na dy, chahy is k liy isy intahai sakhat or kathan aziat-o-ahanat brdashat karni pady.


3.Wo itna byhaya, bysharam or byzameer ho k shafqat-o-rehmat, mehrbani or degar insani or shareef jazbat se bilkul aari ho.


4.Apny sardar ablees ya is k kisi cheely k khofnak shakal mein samny aany par ya koi muhlak hathiar ya moot ka phanda dekhny par is k opar ghabrahat tari na ho.


5.Iski madad karny mein agar ablees tal matool kary ya madad karny se inkar kardy to wo tang dil na ho bal k is madad k talab karny mein taqat bhar israr kary, or jab is se deen ya adab ya urf e aam ya insani qanoon k khilaf koi amal talab kia jay to iski tameel-o-tanfeez mein afsoos na kary or na hi malool khatir ho.

6.Wo apni taqat bhar jadogari k kam injam day, pabandi se is fun ka mutalia karta rahy or ye jadogari jin sheetani tariqoon, jashan or ijtamaat ka mutaliba kary, unki tanqeed kary, or un amal, jashan or ijtamaat k natija mein khud isay ya is k ilawa kisi or ko jo musibt o preshani lahiq ho uski parwa na kary, bal k in sheetani ijtamaat mein waqt e muqarara par hazir ho or mutayann ooqat mein unki tanfeez kary.


7.Wo fitari ya kasbi tor par har bhalai or har umada khaslat say mukamal jahil ho.


8.Wo sheetan ki qowat o taqat or uski muawan khabees o sharer rohon ki taqat ka pukhta itaqad rakhy.


9.Un k ehkam o awamar ka farmanbardar or un k qwaneen o sharait ka paband ho.


10.Wo tumam adeean o mazahab ka sakhat dushman ho, un par apna ghaiz o ghazab zahar kary.

11.Jnka istehza kary or tumam aasmani kitaboon se apni bra’at zahir kary, unhy phary or byhurmati kary. Wo har qisam k ikhlaqi juram , har maseat or burai k irtakab k liy tyar rahy, bal k fasaq o fajoor or abaheyat mein bilkul gharaq ho.


 12.Wo apny libas or tarz e zindagi se ghalazat or khasat e nafas ka namoona ho or apny liy paani or sabun k istamal ko hmesha k liy haram thehra lia ho.


 13.Ta k us k jisam, us k libas or uski rehaishgah se daimi tor par aisi napasandeda or sakhat badbu aay jo   us k sathioon k darmian uski pehchan ho.


 14.Wo apna ziada tar waqat ya mumkin ho to sara waqat- logo say alag thalag reh kar guzary, na to un se tamul kary na rawabat rakhy, siway un k halat k keh jab us se jadoo k kam injam deny or logon ko zarar puhnchany k liy un se rabata rakhny ka mutalaba kia jay.



kala Jadu karne wale ki saza|kala jadu in islam


Naiz jadogar ko qatal kardena khalifa Rashid Umar bin Khatab (R.A) ki sunat he. Chunacha Sunnan Abi Daud mein Bajala bin Abada se rawaiat he, wo bian karty hein k mein Ahnaf bin Qais k chacha Jaza bin Muawia ka katab tha, isi doran hmary pas Umar (R.A) ki wafat se aik sal pehly ye khat aya keh “ har jadogar ko qatal kar dia jay”.

Is rawait ki sanad sahih he.

Isitarah umul momineen Hafsa (R.A) se bhi jadogar ko qatal karna sabit he. Chunache Mauta Amam Malik mein Abdul Rehman bin Saad bin Zarara (R.A) se marvi he: unhain ye rawaiat puhnchi he k Nabi Kareem (SAW) ki zooja Mutahira Hazrat Hafsa (R.A) k oak loandi ne jadoo kar dia tha to unho ne usy qatal karwa dia. Usne un par kala jadu ki sazish tyar kit hi to unho ne hukam dia or usy qatal kar dia gea.

Jadogar ko qatal kar dena sahaba karam ki aik badi jamat ka mazhab he jin mein Umar bin Khatab, Usman bin Afan, Abdullah bin Umar, Um ul momeneen Hazrat Hafsa or Abu Moosa Ashari (R.A) shamil hein.Isitarah aaima mein se amam Abu Hanifa, amam Malik or aik rawaiat mein Amam Ahmad (R.A) bhi isi k qail hein.


kala jadu karne ka tariqa|Jadogar kaisy Jadoo karta he



kala Jadu karany wala khwah wo marad ho ya orat, jadogar k pas jata he or is se kesi par jadoo karny ki darkhwasat karta he, ya kesi aesy shakhas k pas jata he jis k jadogar hony ka guman nahi hota or is se apani ya apny kesi aziz ki bemari ka ilaj karny ka swal karta he. Is waqat jadogar is se is shakhas ka naam pochta he jis par jadoo karna maqsood hota he or uski maan ka nam bhi dariafat karta he, naiz matloob shakhas k baaz nishanat maslaan baal, nakhun, kapra ya photo talab karta he.

Swal ye he k jadogar q matloob shakhas ki maan ka nam dariafat karta he, is k baap ka nam dariafat nahin karta, jab k hona yehi chahiy tha? Iska jawab ye he k jadogar or is k saath mojod jinnat aasmani adian o sharaie k munkar hen, or inka istehza karty hen, jadoogar sharai aqad e nikah ko nahi manta. 




Isliy apny pas aany waly har shakhas ko wo –maazullah- zanna ki olaad (Harami) samjhta he, is k baad jadogar dono namo (matlooba shakhas or uski maan ka nam) k haroof ginta he, phir dekhta he ye naam matti se qareeb tar he to usy zameen k andar dafan kar deta he, ya paani se qareeb tar he to usy paani maslan kuwayain mein rakh deta he, jesa k Labaid bin aasim yahodi ne jab Rasool (SAW) par jadoo kia to aap k nam or aapki walida “ Aamina” k nam ka hisab lagany k bad dekha keh un dono namoon mein haraf “meem” or “alif” ka takrar he, lahaza ye nam “maa” yani pani se qareeb tar he chunache usne jadoo karda cheez “baer zarwan” mein rakh di.

1.Naam agar “maa” yani pani se qareeb tar he to jadogar usy kuwayain ya samandar mein dal deta he ya machali k opar likh deta he, or hawa se qareeb tar hota he to usy aam darakhat ya khajor k darakhat ya dewaar mein lataka deta he.


2. Is k baas jadogar khusbodar dhooni (agarbatti) sulgata he, q k jinnat is dhooni se ghaza hasil karty hein. 


3.Wazeh rahy k jadoo k har nau k liy ak makhsos qisam ki dhooni hoti he. Dhooni sulgany k sath hi jadoogar apna kufria o shirkia mantar parhna shoro karta he jis mein bary bary jinnon ki bharpoor tazeem o takreem hoti he, us k baad mantar likhta he.


4.Is mantar mein jadoogar ki taraf se jin k qabily k sardar k liy bandagi ka paegham or unki tazeem o takreem hoti he. 


5.Un se istaanat ki jati he or Allah Azwajal k kalam ki ahanat or byhurmati hoti he, isi asna mein jin jadoogar k samny apny mutalbaat rakhta he ta k wo zilat o khwari ki halat mein jadoo karwany waly tak puhnchay, maslaan.


6.Zaar ki mehfal mein hazir hona, ya kari shartoon wala janwar zibah karna, ya makhsos qisam ka khana khana, ya mutayyan mudat k liy logo se alehda ho kar tareek kamry mein band rehna, ye mantar agar jal jay ya kharab hojay ya zaia hojay to sehar zada shakhas ka mamla asaan hojata he.


7. Yehi waja he k is mantar ki hifazat k liy baaz jadogar isy peetal ki dibia mein rakh kar qalai kar dety hein jisy baaz log “hijab” kehty hen. 


8.Is k baad jadogar kisi jin ko is muham ko injam deny ka hukam deta he jo wo matlob shakhas k liy karna chahta he. Yani isy maraz mein mubtala kar dena, ya us k dil mein oham o khialat paida kardena, ya us mein or uski bivi mein judai paida karna waghaira, is jin ko “jadoo ka khadam” kaha jata he. 


9.kala jadou ka khadam jin” jadoo kiy gay shakhas k nishan ki mehak songh kar ya uski tasweer dekh kar usko pehchan leta he phir uska pecha karta he, yahan tak k uski halat dekh leta he.
10 Dekhny k bad agar usy Allah Tallah k ehkamat ka paband nahin pata to us k liy apni muham ka injam dena asan hojata he.


11. Chunache wo us par sawar hojata he ya us k dil mein aisy oham o khialat paida kar deta he jin se wo ghutan mehsos karny lagta he.

Kala jadu ka ilaj | kala jadu ka tor quran se


 Lekin agar jinnat usy ehkam e ilahi ka paband or rah e haq par gamzan pata he to us se dar jata he lekin pechy laga rehta he ta k kisi waqat usy Allah k zikar se ghafil ya halat e ghazab mein pa kar us k jisam mein dakhil hojay. Phir us k bad jadoogar us jadoo karda shakhas or jadoo k khadim jinnat k darmian aik wasta (jinnat) k zariay apny jadoo ki pairvi karta he jo us k liy rozana ki khabrain or nataij bian karta he or jado k khadim k pas jadogar k ehkam ly kar ata he.


 Ab jis shakhas par jadoo kia gea hota he agar wo mataqi or parhaizgar he, Quran or azkar o adeia ka virad karta he to jado k khadam jin ko badi mushaqat paish aati he. Or wo itana kamzor hojata he k baaz mamoli awaraz k ilawa kala jadu ka koi asar nahi hota, bal k khadam jin bhagny ki koshish karta he, or agar mutawasit jin usy sabar ki or sheetan k pas qurbat hasal karny ki nasihat na kary ya bhagny ki sorat mein usy qatal kar deny ki dhamki na dy to wo bhaag khara hoga. Lekin agar wo shakhas kamzor eman wala or Allah se kam taluq rakhny wala he to us k liy bari aafat he.

1.Qio k is sorat mein kala jadu us k badan mein saraiat kar k uski zindagi par mukamal tor par asarandaz hojata he, or uska jadogaroon k sath aik aesa lamatnahi moamla shoro hojata he jo uski zindagi ki aakhri saans tak jari reh sakta he. Is moqa par do tarah ka jadoo ikhtiar kia jata he.


2.Ya to jadoo mareez k jisam k andar gea hota he. Yani khany ki cheez mein khialaia gea hota he. Ya peeny ki cheez mein pilaya gea hota he. 


3.Ya atar mein songhaia gea hota he. Ya hath k musafeh k zariay jisam tak puhnchaya gea hota he. Ya phir jadoo mareez k jisam se bahir hota he, yani kahin dafan kia gea hota he, ya kisi muqam par latkaya gea hota he.



kala jadu spmptoms |Insaan par jadoo ka asar



Insan par jadoo ka asar do tarah se hosakta he: ya to jadoo ka asar dakhali hoga, yani mareez k jisam k andar iska asar hoga, or ya iska asar kharji hoga, jesy bahar se ya door se mareez k jisam par iski taseer ho, or wo us k andar ghutan or oham o khialat paida kardy, isitarah jadogar apna jadoo istamal karta he.

Isi se hum wo malomat akhaz karty hen jo dosry moalij k liy bhi mufeed hein or jadoo zada shakhas k liy bhi mufeed hein k bazat e khud wo apna ilaj kar saky.Jadoo se mutaliq mufeed maloomat:


  • Jadoo k ilaj ka sharai tareeqa hi sab se mufeed tariqa he, q k jadoo zada shakhas ka jadoo utrwany k liy kesi jadogar k pas jana jinno ki do tarfa larai ki mannind he or isi larai k natija par jadoo zada shakhas ka moamla moqof he.


  •  Kabi aesa bhi hota he k dono taraf k jinno k darmian is bat par itfaq hojata he k jadoo ka khadim jin aik mutayan mudat k liy nikal jay or dobara apni moham par loat aay, lekin Qurani ilaj k aagy na kesi jadogar ka bus chalta he na jin ka:
      “agar hum is Quran ko kisi pahar par utarty to tum dekhty k        khoaf e ilahi se wo pasat ho kar tukry tukry hojata”


  • Jadoo ki aik mutayan mudat hoti he, agar jadoo talaf kar dia jay to us mudat k bad wo byasar hojata he, yehi waja he k baaz jadogar apny jadoo ki pairvi or iski tajdeed karty rehty hen.
Is website ki akhari fasal mein mazkor subah o sham k azkar or musalman ki zindagi k mutaliq awarid degar azkar ki pabandi k saath hi mareez k liy makhsoos program (tariqa e ilaj) ki tameel mein darj zail faidy hein:


1.Jistarah jang mein imdad munqate kar di jati he isitarah jadogar or khadim jin k darmian wasita (jinnat) muqata hojata he.


2.Jadoo ka khadim jin kamzor ho kar ya to halak hojata he ya bhaag jata he.


3.Jadogar apny jadoo ki agar tajdeed karna chahy to us k liy mushkil ka samna karna parta he.


Kisi bhi jadoo k liy darj zail cheezon ka wojod zarori he:


4.Jadoogar, wo shakhas jis par jadoo kia jay, tilsam (jadoo), jadoo k makhsos maady, jadoo ka khadim jin, jadogar or jado karda shakhas k darmian wasita jin.


5.Baaz jadogar jadoo k khadim jin ki zuban bandh dety jiski waja se jadoo karda shakhas guftago nahi karskta, guzashita dino aik orat ka ilaj kia gea jo 6 mah tak isi qisam k jadoo ka shiakr thi or guftago nahi kar sakti thi.


6. Nafsiati hospital mein uska ilaj horha tha lekin halat mein sudhar nahi aya jis par us k shohar ne talaq bhi dy di, jadogar bhi us k ilaj se thak chuky thy lekin kitab Allah se uska sharai ilaj hoa or wo shafayab hogai.

kala jadu karna sikhna:



Isitarah jinno mein bhi jadogar hoty hein:Kabhi aesa bhi hota he k jadogar jisi jin par jadoo kar k usy jadoo karda insan k pas bhejta he, istarah wo jadoo jin or insaan dono se murakib hota he.
Piary bhai! aap in moaljeen se hoshiar rahein:

Lanti jadogar logo ko ye bawar karwaty hein k wo Quran Kareem k zariay ilaj karty hen. Wo dhoka bazi or heela gari se kam lety hoy kabhi kabhi ilaj karwany walon ki sama’at tak waqai chand Qurani aayat ki tilawat bhi puhncha dety hen, ya un aayat ko likh kar dy dety hen. Is silsala mein wo ibarat bari ajeeb o gharib he jo mujhy in jadogaroon k aik bary sarghana ki kitab k muqadama mein dekhny ka itfaq hoa. Jadogaroon ka ye ustaad jis ka nam Abdul fatah al taokhi he apni kitab “taskheer o sheiyateen fi wasal ul aashiqeen” k muqadma mein youn raqam traz he:

“Allah Tallah ki bargah se kamyabi or fozo falah ka talabgar Abdul Fatah bin Sayyad Muhammad al Taokhi al falki kehta he: ( Allah Tallah mujhy or mujh se pehly or baad mein aany waly sab logo ko muaf farma dy), ye kitab bohat azeem ul shan he, isy mein ne awaleen o aakhareen k ilam se jama kia he or iska nam “taskheer o sheiyateen fi wasal ul aashiqeen” rakha he.

Ye badbakhat, mulhad or zandeeq shakhas Allah Tallah se kamyabi or fozo falah talab karny k foran bad apnay maqsad ki taraf palat’ta he or logo ko kanwari larkion k dilon mein hal chal paida karny k liy iblees laeen se madad mangany k mukhtalif tariqy sikhata he. Chunache wo kufar or bydeeni ki hadood ko chony lagta he. Yahan tak k wo lanti insaan logo ko is amar par ubharta he k wo apni oorton se jama k waqat uzwe tanasul par Qurani aayat likha karen.

Allah azwajal ne Quran Pak mein sach farmaya he:

“wo jab bhi kisi ko jadoo ki taleem dety thy to pehly saaf tor par mutniba kar dety thy k dekh! Hum mehaz aik aazmaish hen tu kufar mein mubtala na ho”

kala jadu ki nishanian | jin se jadoogar pehchana jata he:



1.Aesa shakhas mareez ka naam or uski walida ka naam pochata he.


2. Wo mareez se kisi janwar ya prinday ko zibah karny ka mutaliba karta he. Kabi ye janwar aam hota he to kabhi mutayyan siffat ka hamil hota he. Wo mualij baaz oqat uska khoon mareez k jisam par malny ka mutaliba karta he.


3.Aesa mualij mareez ko ye hidaiyat karta he k wo aik khaas mudat tak logo se alag thalag aik andhery kamry mein qayam pazeer rahy or is doran chand makhsoos ghazaian or mushrobaat istamaal kary.


4.Wo chand kaghzat mareez k hawaly karta he or us se kehta he k wo in kaghazat ko jala dy ya un ki dhooni bna kar istamaal kary ya unhy apnay galy mein latka ly ya kisi khaas jaga dafan kar dy.


5.Har wo shakhas jo haroof ya adad likh kar dy ya 6,6 khano wali shaklein bna kar ya Allah ka kalam likh kar usko kat kat kar istamal karny ki talqeen kary wo jadogar he.


6. Har wo shakhas jo doran e ilaj samajh mein na aany waly kalmaat zaban se ada kary ya aarbi lughat k ilawa kisi dosri zuban k alfaz ada kary wo jadoogar he.

Ab jab k ye baat hmary ilam mein aa chuki he k jadoogar kafir he or uski saza islam mein ye he k uski garden mar di jay. Hum ye waziha karna chahein gy k hmari roshan shariat aik musalman ko jadogaroon k pas jany se sakhati se mana karti he.

Is post me kala jadu se mutalq tamam malomat information ke kala jadoo kia ha aur kaala jadu kase karte ha ke ilawa kala jaduu ki islam me kia saza ha aur kaala jaduu ka tareeqa in urdu balke kala jaadoo wale ke pechan aur sypmtoms detail me bata die gi han.Kaala jadu ka ilaj bhi quran o sunnah ki roshne me baian ker dia gia ha.Agar aap ka koi masla ha ya koi ilaj ke zaroorat ha tu hum se e-mail ya phone per contact karen.

2 comments:

  1. HAR MASLA K HAL ROHANI ELAJ SAY KI JATA HA AUR QUREN E PAK KI PARHI SAY KI JATA HA KIS B KISMA K JADU HO INSHALLAH 15 DIN MA KHTAM HOGA
    Pasand ki shadi
    Mehboob ko shadi k liy raazi krna
    Parents ko raazi krna shadi k liy
    Husband/wife ki mohabat k liy
    Kisi b jaiez mohabat k liy amal
    Ghar ma lari aur be skooni
    Becho k na hona
    Karbor k masla
    Janata k masla
    Sirf 15 din mai InshaAllah aap ko result dikh jai ga
    Alhamdulilah is k moakal bht achay hain

    syeda shameem bibi
    Mobile no +923030306700

    ReplyDelete
  2. Confirm 15 days m ? Lrky ka baap ni maan raha khandan se bahir krny k lie

    ReplyDelete