Sitaroon ka kala Jadoo:
Is kala jadoo k aamleen saat gardish karny waly sitaroon yani shamas, qamar, zahal, mishtari, mareekh, Zahra, or atarad ki parastish karty hein. Chunacha har sitary k liy ak khas libas pehnty hein. Chand makhsos ayam k rozy rakhty hein, sir mundwaty hein or dhooni dety hein. Phir qamar ki taraf nigah utha kar is se mukhatib hoty hein.
Ye sab isliy karty hein ta k in k guman k mutabiq in par sitaroon ki rohaniat ka faiz ho.
Mutaqadmeen najomion ka hal ye tha k jab in mein se kisi k haan bacha paida hota to iska aisa nam rakhty jo us mahiny k chaand par dalalat karta jis mein bacha paida hota tha. Inka guman ye tha k is k zariay se bachy k halat dariafat kiy ja sakty hein, or hum aaj apny dor mein bohat se akhbarat or jaraid mein dekhty hein k “ aaj apka naseeb” ya “aap k sitary” k unwaan se najomion k aamal or zindagi k bohat se shooba jaat se mutaliq logo k liy un k salah o mashwary shaia kiy jaty hein.
1.Chunacha falan tareekh se lekar falan tareekh tak paida hony waly bachon k liy buraj sirtan muntakhib karty hein or falan tareekh se falan tareekh tak paida hony waly bachon k liy meezan ya aqrab muqarar karty hein.
2.Phir jab chaand bulandi ki taraf charh raha hota he yani buraj sirtan mein hota he to un k liy safar karna, manpasan shadi biah karna or tijarati mamla karna acha samjhty hein, or jab chaand basti ki tarf aarha hota he yani buraj aqrab mein hota he to zan o takhmeen or kahani ki bina par un k haq mein safar, shadi biah or tijarati mamlat behtar nhi janty.
3.Ahwal maloom karny k liy sitaroon ko deikhna jadoo or kahanat k qabeel se he, q k makhloqat ki bad bakhti or saadat mein ya unko zindagi or moot deny mein mukhloqat e alvi ki koi taseer nahi, sitary, chaand or sooraj Allah subhan o tallah ki nishanion mein se he.
4.Jo iski azmat par dalalat karty hen, uski pakeezagi bian karty hein, isi k liy sajda karty hein or isi k hukam k paband hein.
Quran Me sitaron ke kala jadoo ke haqeeqat:
Jesa k Allah subhan o tallah ne farmayay:
1.“Kia tum nahi dekhty k Allah k samny sajday mein hein sab aasmano waly or sab zameeno waly or soraj or chaand or sitary or pahar or darakhat or janwar bohat se insan bhi.”
2.“or isi ne tumhary liy sooraj or chaand ko musakhir kar dia he k brabar hi chal rahy hein or raat or din ko bhi tumhary kam mein laga rakha he.”
3.“ Or sooraj or chaand or sitaroon ko paida kia aisy tor par k sab us k hukam k tabey hein”
4.Or aasmano or zameen ki har cheez ko bhi usne apni taraf se tumhary liy tabey kar dia he”.
Allah subhana ne Quran Kareem mein ye khabar di he sitary aasman e dunia k liy zeenat hein or behr o bar ki tareekion mein in k zariay raasta maloom kia jata he, or kuch sitary aisy hein jo aasmani khabar uchakny waly shiyateen ko maarny k liy jaty hein or ye aasman mein sabit siyaron k ilawa hein.
Khano aur ilm e nujoom ka kala jadoo:
lekin in sab par najoom yani sitaaroon ka itlaq hota he jis tarah lafaz “daba” insaan or janwar dono k liy he.
Saheheen mein Zaid bin khalid se marvi he, wo bian karty hein Rasool Pak(SAW) ne muqam e hadibia mein barish wali raat k bad hamein khutaba dia or farmaia: kia tum janty ho k tumhary Rab ne aj ki rat kia farmaia he? Hum ne jawab dia ye to Allah or us k Rasool hi ziada janty hein, farmaia:
“(Allah Tallah ne farmaia): mery kuch bandy mujh par rakhany waly hoy or kuch bandy mery saath kufar karny waly thehry. To jis ne ye kaha k hum par Allah k fazal o rehmat se barish hoi he to yehi banda mujh par emaan rakhny wala or sitaroon(se barish nazil hony) ka inkar karny wala he”.
Or sahih Muslim mein Abu Huraira se marvi he k Nabi Kareem(SAW):
“Allah Tallah aasman se jo bhi barkat nazil fermata he iski waja se logo ka aik garoh kafir hojata he, chunacha Allah Tallah barish nazil fermata he to log kehty hein k falan falan sitary ki waja se bearish hoi he”.
Gharaz ye k dunivi hadsat ronma hony mein insaan ki saadat o shiqawat mein sitaroon ka koi dakhal nahi he, or is ilam se mushghila rakhna mehz zan o takhmeen k qabeel se he. Sheikh ul islam Ibn e Tamima(R.A) farmaty hein:
“mein ne in najomion amil baba se Damishaq mein guftago ki, un k bary bary ulma mery paas aay or mein ne aisy aaqli dalail se un k amal ka fasad-o-batlan wazeh kia jin dalail ki sehat ka wo khud bhi itraf karty hein, un k bary ne kaha: Allah ki qasam! Hum apni ak baat ko sach manwany k liy soo jhoot bolty hein.
kala jadoo aur khaniat:
Q k un k ilam ka daromadar jise kala ilm me bhi istimal kerte han is nazariay par he k aalam –e-bala ki harkat hi dunivi hadsat k roonoma hony ka sabab hein, or sabab ka ilam musabib k ilam ka mojab he. Lekin ye isi sorat mein hoga jab wo mukamal sabab dariafat kar lia jay jo apny hukam(musabib) ko mustalzim hota he.
Jab k in najomion ka hal ye he k agar inhon ne jan bhi lia to beshumar asbab mein se siraf aik adna hissa hi jan paty hein, baqia asbab or degar sharait-o-mania amoor ka inko pata nahi hota, maslan jo shakhas ye jan lay k garmion mein sooraj sir k oopar hota he isliy garmi sakhat hoti he.
Is se wo ye bhi jan sakta he angoor khushak ho kar kishmish ban jay ga. To agarche asa bohat hota hota he, lekin mehz sooraj k wajood se aisa nateeja akhaz karlena bohat badi jahalat he, q k mumkin he k iswaqat angoor majood ho or ye bhi mumkin he k angoor mojood hi na ho, isitarah ye bhi mumkin he wo darakhat phal lay or ye bhi mumkin he k phal hi na lay, ya mumkin he k angoor yonhi taza hi kha lia jay ya usy nachor lia jay, isitarah iska bhi ehtamal he k angoor chori hojay, or ye bhi hosakta he k usy khushak kar k kishmish bna lia jay, wagaira.
kala jadu aur istikhara
Bal k yahan tak kaha gea he k agar aap najomion k bian karda halat maslan kala jadoo aur istikhara online wagera ko ulat dein yani saadat ki jaga nahosat or nahosat ki jaga saadat bna dein, ya garam ki jaga sarad or sarad ki jaga garam kar dein, ya muzakir ki jaga moonas or moonas ki jaga muzakir laga dein, phir hukam lagain to bhi aapka hukam lagana inhi k hukam jesa hoga k kabhi to saho hoga or kabhi ghalat. Isily Hazrat Ali(R.A) ne khwaraj se qataal karny k liy safar karna chaha to ak najomi un k pas aya or kaha:
Aay Ameer-ul-Moomeneen! Aao safar na karen, q k chaand buraj aqrab mein he. Agar chaand k buraj aqrab mein hony k waqat aap safar karen gy to aap k saathi shakiest kha jain gy. Ya isitarah ki koi baat kahi, is k jawab mein Hazrat Ali(R.A) ne farmaia:
“Bal k mein Allah par bharosa or tawakal karty hoy or teri takzeeb karny k liy safar karoon ga” chunache aap ne safar kia or is safar mein aapko ye kamyaabi hasil hoi k is larai mein aksar khwarij qatal kardiy gay.
Kisi ka ye itqad rakhna k saat sitaroon mein se koi sitara saadat or nahosat ka zimadar he, fasad itqad he, or agar ye itqad ho k Allah Tallah k ilawa wohi sitara mudabir or karsaz he to aesa itqad rakhny wala kafir he, or agar is itqad k sath hi sitary ko pukarna, iski ibadat karna or isse madad mangna bhi shamil hojay to ye kufar or sarih shirak bhi he. Ulbta jo log aflak or sitaroon ki sifat, maqadeer or harkat jann’ny k liy or dinon, mahinon or saloon ka hisab lagany k liy ilam e hisab ka istamal karty hen t ye darasl sahi ilam he lekin faidamand kam he,wallahilam.To pher log manpasan shadi aur kala jadoo for love ke liye in black magic specialist ke pass jate han.Han agar kisi ke pass kali shakteon aur jinnat ka ilm ho to her kam ker sakta ha.
0 comments:
Post a Comment