Wazifa mohabbat Tarakeeb amaliyat Mohabbat
(Hubb) Mohabbatwazifa Mohabbat k amaliyat karmay say pehlay Durood Shareef zaroor parhen.
Geyarah (11) dafa parhen aur akhir mai amal ya parhayi khatm karnay k baad mohabbat ka amal taqatwar ho jata hai. Ye Durood Shareef mohabbat k amaal k liye zaroori sharaiyt mai sy hai.
Ap jab bhi wazeefa Karen to is bat ka khayal rakhen sab sy pehlay ye dekhen k chaand ki kon c tareekh hai. Har chaand ki tareekh ko mukhtalif simton ki taraf munh kar k bethen to ye wazeefa ya amal kamiyabi ki zamanat hai. Apki asaani k liye chaand ki har tareekh k hisaab sy simten batayi ja rahi hain ta k apko kamiyabi haasil ho saky.
(Simton Ka Naqsha)
Chaand ki tareekh dekhen neechay simton k sath chaand ki tareekhen di hui hain. In tareekhon mai unky mukhtalif simton mai beth kar amal hain.
1.Mashriq : 29, 22,14, 7
2.Maghrib : 27, 19, 12, 4
3.Shumaal : 30, 23, 15, 8
4.Junoob e mashriq : 24, 16, 9, 1
5.Junoob e maghrib : 25, 17, 10, 2
6.Shumaal mashriq : 28, 21, 26
7.Shumaal maghrib : 20, 13, 5
Naqsh likhty waqt ya koi wazeefa parhty waqt is bat la zaroor khayal rakhen k jis din ham naqsh, wazeefa ya koi aura mal kar rahy hain to us din chaand ki kon c tareekh hai. Naqshay mai jo tareekhen di gayi hain rajaal ul ghayb qamri maah ki us simt mai hoty hain.
Jo tareekhen simton k saamny di gayi hain.un simton ki taraf naqsh, wazeefa ya amal Karen to naqsh ya wazeefa ya amal sahi tor par kam nahin karta balky ulta hony ka bhi khatra hota hai. Isliye oopar di gayi chaand ki tareekhon par jab bhi ap kaam Karen naqshay mai sy simt dekhen or unky mukhaalif simt mai beth k naqsh, wazeefa ya amal Karen.
(sharait)
Is tarha naqsh, wazeefa ya amal sahi tor par kam karta hai aur ulta hony ka khatra bhi nahin hota hai. Misaal k tor par ap chaand ki aik (1), no (9), solah (16) ya chaubees (24) tareekh ko koi naqsh likh rahy hain ya wazeefa kar rahy hain ya koi amal kar rahy hain to ye shumaal mashriq ki simt hui lehaaza ap junoob e maghrib ki simt mai beth kar naqsh, wazeefa ya amal Karen. Isi tarha baki qamar ki mukhtalif tareekhon ko oopar diye gaye naqshay sy dekhen aur unki mukhalif simt mai beth kar wazeefa, amal ya naqsh likhen.
Zaroori Hidayaat:
1.Wazeefa ya amal karny k liye ap ka shariyat ka paband hona lazmi hai.
2.Wazeefa ya amal karny k liye halal tareeqay sy rozi kama kar khayen. Tamam buri baton jesy gheebat, chughli, badzabani, fahash goyi aur tamam buraiyon sy tauba Karen wazeefa ya amal shuru karny sy pehly ALLAH TA’ALAH sy zaroor tauba Karen.
3.Wazeefa ya amal ko parhny k liye alehda jaga khaas tor par muqarrar ki jaye aur rozana isi jagah par beth kar amal ya wazeefa kiya jaye.
4.Wazeefa ya amal rozzana aik he muqarrarah waqt par bila nagha parhen. Darmiyan mai naagha na ho warna wazeefa ya amal dobara shuru karna paryga.
5.Doran e amal chambray ki cheezon sy parhaiz Karen jesy k joota, gosht, doodh, aur aesi ashiyah jo hewanaat k ajza sy tayar hoti hain, bilkul na istimal Karen.
6.Jitni daer ap ny wazeefa ya amal karna hai. Agar apki shadi hogai hai to iss doran apni biwi sy hum bistri bilkul na Karen.
7.Agar wazeefa ya amal koi shadi shuda aurat karti hai to jab tak wo amal kar rahi hai apny shohar sy hum bistri sy bilkul parhaiz kary.
8.Jitney din ap ny wazeefa ya amal karna hai jhoot na bolen aur na he kisi k mutalliq ghalt alfaaz munh sy nikaalen.
9.Doran e wazeefa ya amal kisi sy bhi har qisam ki larayi jhagray sy ijtinaab bohat he ziada zaroori hai.
10.Agar ap oopar batayi gai kisi aik bhi hidayat par amal na kar saken to ap job hi amal ya wazeefa kar rahy hon gay uska koi asar na ho ga. Aur ap apny maqsad mai kamyab nahi ho saken gay.
11.Agar ap ny mandira baala hidayat par amal kar k wazeefa ya amal kiya to IN’SHA’ALLAH ap zaroor kamyab hon gay. Kyun k ALLAH TA’ALAH kisi ki mehnat ko rayegaan nahin jany deta.
12.Wazeefa ya amal karty hue ALLAH par yaqeen aur aitmad mazboot rakhen. Kyun k KHUDA par mukammal aitmad karny walon ki mehnat kabhi rayegaan nahin jati.
13.Is k bawajood agar apko apny wazeefay ya amal mai nakami ka samna karna parta hai to is mai ap he ki koi ghalti hogi k kisi na kisi hidayat par amal na kiya ho ga. Kyun k insane sy aksar bhool chuk ho jaya karti hai.
14.Wazeefa ya amal k liye aony ird gird hisaar karna zaroori hota hai in mai sy agar wazeefay ya amal k doran hisaar karna par jaye to mandirja zail chand hisaron mai koi aik hisaar kar k wazeefa ya amal ya naqsh likhen.
15.Ab apko aik aur hisaar bataya jata hai jo k bohat he ziada pur asar hota hai k Ayat al kursi teen (3) martaba parh kar hathon par dam Karen aur teen (3) dafa taali bajaen. Ye hisaar isha ki namaz k baa dap koi wazeefa ya amal kar rahy hain to us waqt Karen.
16.Wesy to hisaaron ki bohat c qismaen hain lekin sab sy asan hisar mandirja bala hai.
mohabbat ki shadi ka wazifa ke liyezaroori sharaiyt
• Wazeefa ya amal shuru karny sy pehly naha kar wazoo Karen. Aik saaf libaas zaib tann Karen. Aur apny libaas par koi acha sa itar zaroor lagaen. Amal shuru karny sy pehly agarbatti zaroor jalaen.
Aik cheez ka khayal rakhna lazmi hai k wazeefa ya amal parhny k liye sab sy acha waqt fajr ka hota hai. Agar koi fajr k waqt koi wazeefa ya amal na kar saky to wo isha ki namaz k bad wazeefa ya amal kar sakta hai.
Zahra aur mishtri ki sa’aten mohabbat k naqoosh, wazaif aur amaliyat k liye pur asar hoti hain.
In Islami maheenon mai mandirja zail tareekhon ka koi naqsh nahin likhna chahiye. Aur na he koi wazeefa ya amal karna chahiye. (ehtiyat zaroori hai.)
• Muharram : 11-14
• Safar : 3-1
• Rabi ul awwal : 20-10
• Rabi ul akhir : 18-1
• Jamadi ul awwal : 11-2
• Jamadi us sani : 4-2
• Rajab : 15-13
• Shaban : 4-3
• Ramzan : 20-5
• Shawal : 7-6
• Zil hajj : 7-2
Tehreer karny k liye Huroof Adaad Qamri aur Shamsi
Baaz amaal mai naqoosh likhny k liye huroof e abjad qamri aur shamsi ki zaroorat parti hai. Jis mai naam bama’ waalida taalib o matloob maqsad aur maqsad sy mawaqif Quraani ayaat ko aik makhssoos tareekay sy jama, tafreeq aur taqseem k amal sy guzaar kar adaad hasil karty hain.aur naqsh ko bharty hain. Isky liye hamen huroof abjad ki zaroorat parti hai. Yani alif ka adad aik hai bay ka di hai jeem ka teen hai ye qamri hisaab sy hai. Jab k shamsi hisab sy huroof k adaad aur hoty hain aapki asani k liye huroof e abjad qamri aur abjad shamsi dono ka naqsha diya jar aha hai.
Naqsha abjad qamri k 28 huroof ma’a adaad mandirja zail hain.
• Alif : 1
• Bay : 2
• Jeem : 3
• Daal : 4
• Gol Hay : 5
• Wow : 6
• Zay : 7
• Hay : 8
• Toyen : 9
• Ye : 10
• Kaaf : 20
• Laam : 30
• Meem :40
• Noon : 50
• Seen : 60
• Ayiin : 70
• Faay : 80
• Suwaad : 90
• Qaaf : 100
• Ray : 200
• Sheen : 300
• Taay : 400
• Say : 500
• Khaay : 600
• Zaal : 700
• Zuwaad : 800
• Zoyen : 900
• Ghayin : 10000
Abjad qamri sy bnaye gaye naqsh ka asar hony mai kuch waqt lagta hai usky bad usky asraat shuru hoty hain. Aur doosri baat abjad qamri sy murattab qarda naqsh banaty waqt kisi ghalti sy ulta asar hony ka khatra bhi bohat kam hota hai.
Jadol abjad shamsi
• Alif : 1
• Bay : 2
• Tay : 3
• Say : 4
• Jeem : 5
• Haay : 6
• Khaay : 7
• Daal : 8
• Zaal : 9
• Ray : 10
• Zaay : 20
• Seen : 30
• Sheen : 40
• Suwaad : 50
• Zuwaad : 60
• Toyen : 70
• Zoyen : 80
• Aayin : 90
• Ghayin : 100
• Faay : 200
• Qaaf : 300
• Kaaf : 400
• Laam : 500
• Meem : 600
• Noon : 700
• Wow : 800
• Gol hay : 900
• Choti yay : 1000
Huroof abjad shamsi sy murattab qarda naqsh ka asar bohat he jald hota hai. Lekin ismai aik ehtiyaat bohat zaroori hai k huroof e abjad shamsi sy murattab qarda taweez ko bohat hazir dimaghi sy bharen ya likhen. Huroof e anjad shamsi sy murattab karda naqsh bharty waqt zara c bhi ghalti sy bohat buray tareeqay sy ulta asar ho jata hai. Lehaza huroof e abjad shamsi sy murattab qarda taweez likhty waqt bohat ziada ehtiyat aur dimagh ko mukammal hazir rakh kar naqsh bharen.
Mohabbat ka taweez ka muslat or murabba kesy banta hai
Alsar aamil hazraat naqsh likhny k liye aik chokor dibba bana k no (9), sola (16), chontees (34) waghera dibbay bana k ismen naqsh karty hain.saady dibbay mai banaya gaya naqsh ilm e naqoosh mai nanga naqsh kehlata hai. Lehaza naqsh ka berooni dibba usky moaqqilaat aur khidmaat k sath bana kar phir usmai naqsh ko matlooba aatish, aabi, khaki,baadi chaal k mutaabiq bharty hain. Naqsh ka berooni dibba essy banaty hain.
Naqsh likhny k bad naqsh k neechy apna maqsad jisky liye ap amal kar rahy hain jesy zar o mohabbat, naukri waghera wo likhty hain k is naqsh ki barkat sym era faalaan kam job hi apka maqsad hojae isky bad teen dafa alajal alajal alajal alsa’ata alsa’ata alsa’ata alwaha alwaha alwaha lazmi likhna hai. Tamam naqsh pur karny k bad naqsh k bahar aik bara khana bana kar naqsh ko band kar dety hain.
Agar aap chate han ke app wazifa mohabbat kamyabi se karen aur kisi k dil main mohabbat dalne ka wazifa nakam na ho maslan kisi ko apni mohabbat mein pagal karne ka wazifa to aap uper de gie hadayat per amal karen aur 100% result hasil karen.
0 comments:
Post a Comment