kala jadoo Aur Jin Ki Tareef:-
kala jadoo me Jin K laghvi mani “chupny” or “posheda” hony k hen.
Johri kehty hen: “Jan” se murad Abu al Jin (Jino ka baap) he or iski jama Jinian he, jesy hait (bamani dewar) ki jama hitan ati he.
Or Al Qamoos al Moheet me he: ( Janna tul lailu wa janna alaihe , janna wa jonona wa ajanna ho) yani rat ne isko chupa lia, or har wo cheez jo aap se posheda he, isi tarah (Jin al lail – jeem k kasrah k sath- wa jonona wa jannana) se rat ki tareeki murad li jati he. Or (al mujnah) ziada jinno wali zameen ko kaha jata he, or al jaan jin ki isam e jama he.
Or Lissan Alarab me he ( janna nu junna shai e ya juna tu janna )yani isne cheez ko chupa lia , or har wo cheez jo apse posheda ho us k bary me kaha jata he ( jin annak) ye cheez aap se posheda he.
Isi tarah kaha jata he:
kala jadu jin ya arwah
(Jinna al lailu ya jinna hu jinna wa jonona wa junna alaihe wa youjna- jeem k zama k sath- jonnona wa janna ) yani rat ne isko chupa lia, or Quran Pak me he: ( Falamma Janna alaihi lailu) “ Yani rat ne is par parda kar dia”, or is mani me jin ko jin kaha jata he q k wo nigahon se posheda or oojhal hoty hen, or pait me bachy ko jinain isliy kaha jata he k wo apni maan k shikam me chupa hota he.
Abu umar bin abdul barr kehty hen: Ehl e kalam or ehl e zaban k yahan jinno k darj zail tabqat hen:
1.Jab wo khalis jin ka zikar karty hen to kehty hen: jinni.
2.Agar Jin logo k sath gharoon mein rehny wala ho to usy aamir kehty hen iski jama ummar he.
3.Agar wo bachon se chair char karny wala ho to usy Arwah kehty hen.
4.Agar wo khabees or sarkish hojay to wo shetan he.
5. Or agar is se b barh jay to usy marud ( Sarkish) Kehty hen.
6.Or agar is se b tajawaz kar jay or iska mamla ghalib or qavi hojay to usy afriat ka nam dety hen, or iski jama afariat he.
Jinnat o Shiyateen kala jadoo bary me Ehl e Toheed ka aqeeda:
kala jadu Jinnat k bary mein logon ki aara mukhtalif hen, chunache baaz ne to siry se inka inkar kia he, baaz ne jin k wajood o asbat ki taraf ishara kiy baghair siraf lafaz jin k mani ki tashreeh ki taraf ishara kia he or baaz ne jinnat or shiyateen k mani ki ghair sharai taweel ki he.
“Tumam umatain jinat ka iqrar karti hen or jinno k sath in k itny waqiat hen k inka zikar baese tawalat he, jinno ka inkar siraf jahil filasifaor atbaa waghaira ki aik mamooli jamat ne kia he, lekin akabar umat se jo manqool he wo ya to jinnat ka iqrar he ya is k bary me sakoot…..”
Dr Ibraheem Kamal Adham apni umada kitab (Al Sehr o lsehrah) mein likhty hen:
“Jin k mozo par behas o guftago mushkil tareen mozoat mein se he, khasosan isliy k is mozo ka taluq aik posheda duniya ki teh tak puhnchta he jo nigahon se oojhal he, isy na to kesi maadi pemany se napa ja sakta he or na hwaas k zariay iska idrak kia ja sakta he”
kala jadoo jinn ke bare me logo ke khalaiyat:
Logo k azhan me jinno k taluq se tarah tarah k aqaid pay jaty hen jo in k moashiry or tabiaton k ikhtalaf naiz in k andar taleem ya jahalat k aam hony k itbar se mukhtalif hoty hen, log daihi elaqon or biabano k jinno se mutaliq bakasrat waqiat biaan karty hen, or inahi waqiat k saath jaado, dajal o fraib or shobada bazi b aam hoti jati he.
Dr Ibraheem Kamal Adham raqamtraz hen:
“Jin or in ki posheda dunia k bary mein har choty bary, taleem yafta or aam mard o orat k kuch na kuch mwaqif or halat o waqiat hen. Jinno k bary mein logo k itqadat par malomat jama karny k liy mene jis shakhas k sath b guftago ki usne mujy achi khasi maloomat mohia ki”.
Jinno k bary mein logo k itqadat k beshumar or mukhtalif masadir hen, chunacha baaz ka masdar wo purany aqaid hen jo logon k amor e fitrat se khof k sbab wajod mein aay, baaz insan ki makhfi khwahshat o tasaworat ko mita deny ka natija hen, baaz ka muraja wo kharafat or jhoty qisy kahanian hen jinhein kahin , jadogar aur black magic specialist in pakistan or shobada baz apny kam aqal mareezon k samny paish karty hen, baaz sheetani waswasa hen or baaz ka muraja shariat e Islam he ya Islam ki tehreef he.Ye sab kala jadu kase kare ka tareeqa ha.
1.Is mozo par mene jo maloomat jama ki un se maloom ye hoa k taleem yafta or ghair taleem yafta tumam logon ka is itqad par taqreban ijma he k jinno ka wajood he.
2.ye itqad shariat e islamia ki taleemat k mutabiq he. Lekin awam un naas is makhlooq k bary me aisi tafselaat.
3. bareekian or dhair sari maloomat bian karty hen jin par Allah Tallah ne koi dalleel nazil nahi farmai he, aisa maloom hota he k bian karny waloon k or is makhlooq k darmian koi parda hi nahi.
4. bal k wo din k ujaly mein apni aankhon se deikh rahy hon.
Jitny logon se mein ne mulaqat ki jis tarah unki aksriat kala jadoo jinno k wajod ka itqad rakhti he isitarah inka ye itqad b he k jin zahir ho sakty hen or mukhtalif shaklein ikhtiar kar sakty hen, in mein sab se mash’hor shakal kisi moty saanp ya kali bili ,kaly kutty ya bakri ki shakal ikhtiar karna he.
lekin ajeeb bat ye he k bohat se log ye bian karty hen k jinnat agar insan ki shakal mein zahar ho to is k paon bakri k paaon ki shakal par baqi rehty hen, isitarah is itqad par bhi taqreban ijma he k jin bhairiay se darta he or iski shakal ikhtiar nahi kar sakta.
balk wo pory wasooq se kehty hen k jin agar bhairiay ki shakal ikhtiar kar ly to bhairia is par musalit hojay ga or isy apna shikar bna sakta he, inka ye daawa b he k jin bhairiay ki boo se dor bhagta he.
yehi waja he insani aabadi se door pahari ilaqoon mein jin logon se meri mulaqat hoi un me se baaz log aony sath ak esa hijab rakhty hen jis mein bhairiay ka koi nishan jesy baal, daant, hadi ya chamra wagaira ho.
jinnat se logo ka khauf khana:
Bohat se logo k darmian ye baat aam he k wo kala jadoo jinnat se sakhat khof khaty hen or inka naam lety hoy darty hen. Yehi waja he k jab wo kisi jin ka nam lena chahty hen to nam leny se pehly sakhat khof k sath ( Bismillah) parhty hen.
Isitarah baaz wo log hein jin ki peeth mein koi takleef hoti he or is takleef k tibi ilaj se inhein koi faida nahi hota, aakhir mein unka ye itqad hojata he k ye jin k intaqam ka natija he, yani is shakhas ne ghair shaori tor pe ji ko aziat di ho g to jin ne intaqaman iski peeth par zarab laga di he.
Awam ul naas bilkahsos jo log jinnon se tamul karty hen unka ye itqad b he k jinnat ki umarain bari lambi hoti hen, bal k baaz to yahan tak dawa karty hein k jin hazaroon saal zinda rehty hein, wo apny daway par daleel paish karty hoy kehty hein k baaz jinnat jin ko hazir karty hein in se pehly in k baap dada inhein hazir kia karty thy, wallah ilam.
Bharhal age ga ker hum dekhte han ke kala jadoo kase kere aur kia kala jadu specialist waqe kam kerte han jo aksar kala jadoo for love ke bhi dawe kerte han.
0 comments:
Post a Comment