kala jadoo karne ka tareeq aur islam :
kala jadu kia ha ? aur kala jadoo karne ka treeqa aur is ke bare be dlalial ye han Chunache kutab hadees mein Imran bi Hasain se Husan e sanad k sath marvi hadees he k Rasool (SAW) ne farmaya.
“wo shakhas hum me se nahi jo faal nikaly ya us k liy faal nikali jay, jo kahanat kary ya us k liy kahanat ki jay, ya jadoo kary ya uski kahtir kesi par jadoo kia jay. Jo shakhas kesi kahin k pas jay or uski baat ki tasdeeq kary to usne Muhammad (SAW) par nazal ki jany wali shariat ka inkar kia.”
Sahih Bukhari o Muslim mein Hazrat Abu Huraira(R.A) se rawait he K Rasool (SAW) ne farmaia;
“Saat tabah kun cheezoon se bach kar raho. Sahaba karam ne araz kia: Aay Allah k Rasool! Wo kon kon si cheezen hein? Aap ne farmaia.
- Allah k sath shirak karna.
- Jadoo sekhna ya karna.
- Allah ki haram karda kesi jan ko nahaq tariqy se qatal karna.
- Sood khana.
- Yateem ka maal zulam se khana.
- Medan e jang se bhaag jana.
- Pak damin bholi bhali momin oorton par bad kirdari ka ilzam aaid karna.
kala jadoo karne ka tareeqa ke bare meNabi Kareem (SAW) ne ye bhi farmaia:
Agar koi shakhis kesi kahin k paas aay or iski baton ki tasdeeq kar dy to wo is shariat se lataluq hogea jo Allah Tallah ne Muhammad (SAW) par nazil farmai he or jo koi kahin k paas aay, chahy uski baton ki tasdeeq nab hi kary to aisy shakhas ki namaz chalees (40) roz tak qabool nahi ki jati”.
Mumkin he aik shakhas youn kahy mein kisi ko nuqsan
puhnchany k liy jadoogar k paas nahin jata bal k mein to aony jadoo ka ilaj karwany or shafa hasil karny k liy jata hon, ya isitarah k deegar aazar paish kary to hum aisy shakhas se ye kahin gy:
puhnchany k liy jadoogar k paas nahin jata bal k mein to aony jadoo ka ilaj karwany or shafa hasil karny k liy jata hon, ya isitarah k deegar aazar paish kary to hum aisy shakhas se ye kahin gy:
“tumhara haal is shakhas jesa he jo bemari ka ilaj bemari k zariay karwana chahy ya us shakhas ki tarah he jo dhoop se bachny k liy aag mein kod pady”.
Bohat dafa aisa bhi hota he k jinnat jadogar k khilaf baghawat kardety hein or khud usy kai bemarion mein mubtala karny ka sabab ban jaty hein. In bemarion ka jadogar k paas koi ilaj nahi hota. Jinnat o shiyateen aksar ahwal mein jadogar ko musibat mein tanha chor dety hein, or uski madad ko nahi aaty. Farman e bari Tallah he:
“ sheetan to insan k saath ain waqat par bywafai karny wala he”.
Kai bar aisa hota he k jinnat jadogar se mutaliba karty hein k wo u
k paas bagharz e ilaj aany wali khwateen se byhayyai ka irtakab kary ya un k nazuk muqamat par khoon k saath koi tehreer likhy.
k paas bagharz e ilaj aany wali khwateen se byhayyai ka irtakab kary ya un k nazuk muqamat par khoon k saath koi tehreer likhy.
Buhat martaba aisa hota he k jadoo ka ulta asar jadoo karwan
waly par hi hojata he. Kitni hi aisi khwateen hein jinhon ne jadoo k zariay apny shohar ki muhabat chahi or usy dosri shadi se rokna chaha magar shohar ne us jadoo k zair e asar khatoon ko talaq dy di. Farman e Bari Tallah he:

“ buri chaaloon ka wabal un k karny waly par hi parta he”
Kabhi aisa bhi hota he k mard or orat bilkul theek hoty hein magar
jab ye us jadoogar k pas jaty hein to ye maal ainthany k liy un par kisi jin ko musalit kar deta he, jo unhain preshan karta he or ye
majbor ho kar uski khidmat mein nazrany paish karty hein.
jab ye us jadoogar k pas jaty hein to ye maal ainthany k liy un par kisi jin ko musalit kar deta he, jo unhain preshan karta he or ye
majbor ho kar uski khidmat mein nazrany paish karty hein.
black magic karne ka tarika:
Jinnat kala jadu karne ka tareeqa jis me jinn o shiyateen bari kasrat se thaka deny waly preshan kun mutalbat karty hein. Kabi wo bari
sakhat sharait k sath makhsos sifat ka hamil janwar, muragh ya kabotar talab karty hein ta k usy jinnat ki khusnodi k liy zibbah kia ja saky or uska khoon mareez k jisam par mala ja saky, ya phir wo ye mutaliba karty hein k mareez logon se alag thalag ho kar tareek kamry mein chalees ratoon tak moqayyam rahy, ya ye k.

1.wo aik khas mudat tak pani k nazdeek na aay. Isitarah k mutalibat jin ki koi had nahi.
2.wok arty rehty hein. Har ilaqy k jinnat ka mutaliba dosry ilaqy k jinnat se mukhtalif hoty hein.
3.Chunache Misar k aik medani ilaqy mein aik kunwan “ Abu Hasheema” k nam se mosom he.
4.Aisi khwateen jo olad ki talabgar hoti hen unhein jadogar Juma k roz nmaz e maghrib k bad is kunwain k pani mein dubki lgany k liy bhejty hen.
5.Ye aik byabad kunwan he jis mein bohat se jinnat dera daly rehty hein or orton k khufia aza ko mazy ly kar dekhty rehty hein.
6.Kabhi koi orat agar jin ko pasand ajay to wo us k badan mein dakhil hojata he is khatoon ka bechara shohar us kunwain par apni bivi ko ly jaty waqat is haqiqat ko bhol jata he k olad ata karny ka ikhtiar to Allah Azwajal ne apny pas rakha hoa he. Irshad e Ilahi he:
“wo jisy chahita he baiteean ata karta he or jisy chahta he bety anait fermata he, jisy chahta he larky or larkian mila jula kar deta he or jisy chahy bhanj kar deta he, wo sab kuch janta he or har cheez par qadir he.”
kala jadoo karne ka tareeqa me Jinnat o shiyateen apny ulty seedhe
mutalbat k zariay logo ko thaka dety or preshan kar dety hein.
Allah Rab ul Izzat ne apni kitab e muqadas mein sach farmaya he:
mutalbat k zariay logo ko thaka dety or preshan kar dety hein.
Allah Rab ul Izzat ne apni kitab e muqadas mein sach farmaya he:
“ Insanoo mein se kuch log jinnat ki panah talab kia karty thy,
magar is k natejy mein jinnat ne panah mangny waloon ko khoof or
preshani mein ziada hi kar dia”
magar is k natejy mein jinnat ne panah mangny waloon ko khoof or
preshani mein ziada hi kar dia”
Sheikh Hafiz Hakmi (R.A) kehty hein:
- Kisi jadoo zada shakhas ka liaj isitarah k jadoo se karwana haram he, isliy k ye aik jadogar se ta’awan ki aik sorat he or ye us k najaiz kam ko tasleem karny wali bat he. Naiz ye mukhtalif tareeqon se sheetan ki qurbat hasil karny ki koshish he ta k wo jadoo zada shakhas k jadoo ko zail kar dy”
- Imam Hasan Basri (R.A) kehty hein:Chunke aam tor par jado ka ilaj jadogar hi karty hein lahaza mojoda dor mein jab k koi talwar jadogar k sad e bab k liy nahi uthati , aap dekhein gy k bohat se badkirdar jadogar apny pasandeda ya napasndeda logo par jan bojh kar jadoo kar dety hein ta k wo majbor ho kar jadoo k ilaj k liy inhi jadogaroon se rajoo karen. Is tarah se ye log dosron ka maal najaiz tareqy se khaty hein or un k maal or Deen par musalit hojaty hein”.
In tumam guzarishat k bad hum umat e toheed, umat e Quran,
umat e Muhammad (SAW) k sahih ul aqeda hazrat ko nida dety
hein or araz karty hein k jadoogar kafir he or uska amal kufar he.
Wo apni jan k liy bhi nafa nuqsan or moot o hayyat ya dobara
zindagi ka ikhtiar nahin rakhta. Na hi wo ghaib janta he. Wo jinnat
jo jadogaroon ki khidmat karty hein kafir o sarkish jinnat hein. Q k
un k momneen to insanoo ki tarah momneen hein, wo apnay liy
taskheer or mabodiat ko pasand nhi karty. Izat dar shakhas ghatia
cheezon se taskheer hota hi nahi.

Aay Umat e Quran! Agar aap jadogar jo kala jadu kase kare k
halat pe ghor farmain to aap dekhain gy k ye log mareezon se
chand tikay batornay ki khatir darbadar horahy hein. Aisi sorat
mein ye log aap mein se kisi ko dolat mand kesy bna sakty hein.
To kia he koi nasihat pakrany wala?!

sifli ilm karne ka tarika
sifli Jadoo darasal faraib e nazar ka aik lamatnahi jal he jis mein is
qadar kashash paida kar di gai he k log ye samjhty hein k duniavi
koi bhi kam karwany ka asan rasta yehi he.
qadar kashash paida kar di gai he k log ye samjhty hein k duniavi
koi bhi kam karwany ka asan rasta yehi he.
Or is baat ko parwan charhany mein aj k dor k nam nihad mulaon,
peeron, faqeeron or safli ilam waly hein, jin k pas ilam to baray
nam hota he lekin awam ko btwaqof banay ka fun or dhang unhein
bakhobi ata he, jo masiway moashiry mein tabahi o barbadi
phailany, badsakoni, bychaini, or nafrat phelany ka kam zar l
lalich mein injam dety hein, or jo koi un k jal mien aik dafa phans
jata he to phir us se niklny ka nam nahi leta.

Ziada tar jahil, aamil wo hein is ilam k asrar o ramoz sezara barabar bhi laga nahi khaty lekin apni braai nit na’ay karnamo k tehat jatlaty rehty hein ya phir bybuniad or ulty seedhy alfazat k taweez dhagy waghaira bna kar awam ko loatny ka wateera ikhtiar kiy hoy hein.
Awal to jado aik aisa fun he jo kisi bhi ba amal, parhy likhy insan bilkhasos umati e Rasool (SAW) ko ziaba nahi deta, q k is se sab se pehli zad musalman k emaan par parti he or wo rah e haq se bhatak kar gumrahi or zalalat mein par jata he. Phir ye k jadoo bazat e khud fana or nuqsan ka amal he, is se burai ki tawaqo to ki ja sakti he, kisi achai ki nahi ki ja sakti.
kala jadoo kakne ka tareeqa aur is ki haqeeqat:
Aksar hmary haan ye mashhor he k jab Khuda k Rasool(SAW) jadoo se (Maa’az ul Allah) nahi bach saky. To hum kis mein shumar hein. Isi tarah dili tor par jadoo ko apnay opar moheet kar lia jata he.
Or bilawaja har baat ko jadoo se tabeer kia jata he. Lekin koi bhi is bat ka adrak nahi karta k is mamly mein kala jadoo karne ka treeaa haqiqat ahwal kia he? Or ye k iska siaq o sbaq kia he. Siaq o sbaq ye he k arab moashiry mein islam se paishtar jadoo is qadar taraqi kar chukka tha or logo k rozmara k mamolat mein rach bas chukka tha k Hazoor Sarwar e Kainat ki aamd o baasat or moajzat ne jadogaroon ki jadogari ko maat karna shoro kar dia tha.
- Or un k jhoot ka poal or unki qadar afzai mein roz afzon kami hoti jarhai thi, chunke Hazoor (SAW) ki baasat se qabal yahodion ka fun e jadogari mein tooti bolta tha or wo jo kehty log by choon charan in ki bat ko haq tasleem karty thy.
- aisy mein islam aik haqiqat ban kar ubhra or iski waja se un yahodion ka karobar e hayat byhad mutasir hoa. Or pory moashiry mein musalman din badin phelny or phalny pholny lagy. Jis se unko byhad zehni sadma puhncha.
- Unho ne Hazoor Sarwar ekainat k moajzat e amal ko jadogari se mansoob kia. Ta k (maa’az ul Allah) log aap se badzan hojain or Ap (SAW) ki taleemat phelny na paen. Or is tarah tableegh e islam ka kam ruk jay.
Aisy mein Allah ka hukam e aazmaish aan puhncha jis par aap ne sir tasleem kham kardia. Or yahodion ko aap par kala jado karny ka moqa mil gea.
Or istarah aap (SAW) kisi had tak bemaar hogay . barawaiat Hazrat Aisha (R.A) iz (bukhari o muslim) banu Zareeq k naami garami jadoogar Lubaid bi Asam ne Aap (SAW) par jadoo kar dia. Aap (SAW) ko youn mehsoos hota k Aap (SAW) kuch kar rahy hein halan k aisi koi baat na hoti.
Aik din Aap (SAW) ne apny rab se kai martaba dua mangi. Phir Hazrat Aisha (R.A) se farmaya aay Aisha kia tum janti ho k mene Allah se jis mamly mein dua mangi he usne meri dua ko qabool kar lia he.
Mery pas do aadmi (farishty) aay hen. Aik mery sarhany betha dosra painti. Or inho ne aapis mein guftago karty hoy ye kaha k in par jado kia gea he, painti waly k asrar par sarhany waly ne kaha k in par Lubaid nin Asam ne jadoo kia he ta k islam ki tableegh ka amal ruk jay. Usne phir istafsar kia k kis cheez mein? Dosary ne kaha khanghi k balloon or khajoor k khokhly shagofy mein. Usne kaha k ye kahan hein? Usne jawab dia k ze arwan k kunwain mein .
Aap (SAW) Hazrat Abu Bakar Sadeeq(R.A) or dosary ashab ko ly kar us kunwain k pas gay or usko dekha. Aap ne farmaya ay Aisha! Is kunwain ka pani aisa maloom hota he k is mein mehndi ka aameza ho. Us khajor ka darkhat aisy lagta tha goia sheetano k sir hon. Hazrat Aisha(R.A) kehti hein k mene kha: Aap (SAW) ne isko ( baal or khajoor k shagofy ko jis pe jadoo kia gea tha) q nhi jala dala.
- Aap (SAW) ne farmaya “nahi, mujy to Allah Tallah ne shafa dy di mein ne munasib nahi samja k logo ko fitno mein mubtala kardon isliy isko dafan karwa dia” Baaz rawaiat k mutabiq Aap (SAW) us jadoogar k pas gay or pocha kia tum ne muj par jadoo kia tha to usne haan mein jwab dia.
- Is par Aap (SAW) ne farmaia “agar mein tum mein se kesi par jadoo karon to kia tum karwa lo gy?” usne kha “ jo aisa kary ga hum uska kia ho jadoo wapis usi par palat dein gy, is par Aap (SAW) ne farmaia “ tumhari nazar me jadoogar, shoobady baaz ya mardan ghaib mein se hoon lekin mein ne aisa kuch bhi nahi kia jis se tumhara jadoo tum par wapis palat jay or tumhy nuqsan bhi puhnchy, halan k tum ne mery opar jadoo k zariay mujy nuqsan puhnchaya lekin meri taraf se koi bhi aisa kam nahi hoa. Ab bhi tum mujy paighamber e haq na mano to tumhari marzi he, or Aap (SAW) wapis tashreef ly aay.
Agar banazr e ghaiar is waqia par nigah dali jay to ye haqiqat samny aati he k Razay elahi k tehat Hazor Sarwar e Kainat (SAW) ko rah e haq se baaz rakhny k liy ye juram Lubaid bin Asam se sarzad hoa.
Wagrna dunia ki koi taqat Allah k piary Rasool or Mehboob (SAW) par kisi bhi tarah ka jadoo, tona, totka nahi aazma sakti he, or na hi siry se kainat mein paida hoi he.
Q k ye naam ak aisa naam kainat mein he jis k tufail se paighambroon or nabioon ki tauba na siraf qabool hoi he bal k jis se kainat k har maraz mein shafay kamla milti he or jadoo tony apni haqiqat e ehwal kho dety hein.
Aasaib or jinnat bhag jaty hein. Sheetan Iblees jis se panah mangta he or gumrahi o zilat apny hi samandar mein gharaq ho kar maadom hojati he.
Is baba me kala jadu karne ka tareeqa sifli iml aur black magic ka tareeqa aur kala jadoo ke ilaj ka tareeqa sab tafseel se bata dia gia ha.
Bhai apne contact de
ReplyDeleteTop 10 Health Tips Of Bananas And Banana Fruit Benefits
ReplyDeleteHealth Tips Of Bananas
Health Tips Find Beauty Tips and Tricks For Learn Health
Pakhealthtips.com/
Health Tips, Health News, Health Care and Fitness Tips
Health Tips
Health Benefits of Fruit: Vitamins, Minerals + Fiber
Fruit Health Tips
Health Benefits of Vegetables: Vitamins, Nutrients, Fiber
Vegetable Health Tips
Learn full Kala Jadu Easy Steps Kala Jadu, Kala Jadu Specialist, Kala Jadu Ka Tor, Bengali Kala Jadu, Remove Black Magic and Kala Jadu Kaise Kare Hindi Me 2020.
ReplyDelete