Friday 23 June 2017

kala jadu ka tor

kala jadu ka tor | kala jadu ka ilaj


kala Jadu k phalny pholny ki aik waja ye bhi he k insan azal se hi toham parasat or zaef ul itqad paida hoa he, or is waja se wo bad arwah par yaqeen rakhta he, or samjhta he k bad arwah ka saya us par par jata he, or wo logo se chimat jati he or istarah bad arwah masaib or imraz ka sabab banti he or in se kam leny ka zaria ganday, taweez, jhar phonk, safli tareeq e kar rakha gea he. Is post me hum kala jadu ka tor aur kala jadu ke ilaj ke bare me baat karen ge.

 Logo k kheal mein in cheezon ko baroy kar lany se bad arwah tezi se kam karti hein or hasb e mansha nataij samny lati hein.  Isi zaef ul itqadi ne ehal e qaboor ko hajat ehal e qaboor ko sajda rezi ki jati he, daiwataon ko parwan charhaya or isi kheal k tehat ehal e qaboor ko sajda rezi ki jati he, daiwataon ko dan charhaya jata he or in se isatdad mangi jati he. Jin, dio, bhoot or pareet ko musakhar karny k liy chila kushi ki jati he, faal ka sahara lia jata he or kahanton par yaqeen rakha jata he. Iski cchand misalain darj zail hein k tohamat par kis qadar yaqeen rakha jata he. Jesy:

  •    Rony se marny waly k safar e aakhirat mein aabi dushwari paida hoti he.

  •    Khali qainchi chalany se aapis k taluqat manqata hojaty hein.

  •    Agar kisi hamla ka hamal saqit hojay or wo nahany k bad apna saya kisi bhali changora

  •    par dal dy to usy bhi asqat e hamal kaaarza lahiq hojata he.

  •    Agar aankhon mein dam kia hoa surma dal lia jay to har insaan ko nazar ki badolat zair kia ja sakta he, waghaira.

kala jadu ka tor quran se| roohani ilaj


Dafa  e jin aasaib waghaira k liy zail ka amal byhad mufeed he. Is maqsad k liy taza ghusal or wazo kar k do rakat namaz nafal is tareeqy se ada karen k har rakat mein sorah e Fatiha k bad sorah e Kafiron 3 bar or sorah e Ikhlas 3 bar parhain. 

Is k bad qibla rukh beth kar zafran o mushak se zail ki ayat mubarika saat martba safaid kaghaz par likh kar isko isi ayat e mubarika ka 51 martaba parh kar dam karen. Or is naqash ko khushbo laga kar mom jama kar k galy mein dal dein. Or isi ayat e mubarika ka din mein 2 martba 7,7 bar wirad kar k bari bari dono kano mein phonk bhi lagain. In sha Allah Tallah bafazal e aizdi 7 din k andar andar jin o aasaib se nijat mil jay g. ayat e mubarika ye he.


Wo shakhas jis par kisi ne hasad, bughaz ya kisi or waja e dushmani se jadoo o sehar karwaya ho. Or wo naghani mushkilat or pareshanion mein mubtala ho. Unka maraz lailaj ho. Ya kisi ki bhi samj mein na ata ho to zail k amal mein se kisi aik amal sidaq e yaqeen se karny se Allah Rab ul Izaat apni mehrbani fermata he. Or apny piary habib Aaqay do jahan (SAW) k tufail insan ko shafay kuli ata fermata he.

kala jadu |Elamat e Jadoo ul Sehar:

Youn to jado al sehar ki pehcahn asan kam nahi beharha chand aik elamat e zail jado.sehar k shikar insan mein pai jati hein.

1.Insan ka roz be roz laghir or beqarar hona.


2.Zan, farzand or degar iza o aqarab se nafrat ka izhar.


3.Khany peeny ki ashia se tanafar ka izhar.


4. Hadion mein darad, kam sona, soty mein dar k jag uthna.


5 Dard e sir or dard e shikam lazmi hota he or ye daimi hota he.


6.Seeny ki ghutan khas kar rat k waqat hoti he.

kala jadu ka tor wazifa se:


1.  Daria ya nehar ya aab e rawan ya saat nal ka pani lain, isme aik chothai chamach namak milain or is pani ko garam kar lein. Is pani par 313 martaba.

2.     Rozana subeh ko soraj k samny khary ho kar ayat ul kursi ka wirad darj zail tareqy se 11 martba kar k apny opar dam kia karen. 

3.Ya hayyo ya qayyom 7 martaba parhain phir kahain ay hayyo qayyom to hi zinda o qaim he. Mujy apnay hay o qayyom hony k naaty se zinda o qaim kardy. Phir ayat al kursi shoro kar dein or “ Allah ho la ila illa ho wal hayyol qayyom”- zaat mujy zinda o qaim e he or sehar jadoo se nijat dy rahi he jab lafaz “la ho ma fi samawat e wal arade” par puhnchain to yahan siraff tasawor karen k mera nigheban malik samawat wal araz he. 

4. Or har jado is k samny heech he is k bad “ ya muhemeen” 11 martaba parhain. Or agy ayat al kursi shoro karain. Jab lafaz “yashfa o indaho” par puhnchain to lafaz “yashfao” par tauqaf karty hoy is bat ka tasawor karain k dono hi iski grifat mein arahy hein. 

5. Is k sath hi “ indaho” ki zarab kheal hi mein in dono k  opar lagain ( siraf is bat ka tasawor rakhain, k mein aony karny or karwany waly par iski zarab laga rha hon kisi ka nam leny ki zarorat bilkul nahi he). 

6. Is k bad ayat al kursi ko parhna shoro kar dein, or jab “ wala yaodoho hifzohoma wa howa ali ul azeem” par puhnchy to is bat ka tasawor karty hoy k mein ab sehar k asar se mukamal nijat pa chukka hon or Rab zat bar tar o bazurag ki mukamal hifazat mein agea hon. 

  7.saat bar takrar kar k apny dono hathon par phonk lagay or apny pory jisam par phair kar “akhraj fil sehar” keh kar dono hathon ko jhatak dy, is tasawar k sath k tumam jado o sehar mery wajod se kharij horha he. Is tarah 11 martaba is amal ko duhrany k bad 7 martaba ayat al kursi sada tor par parh kar apny jisam par phonk lagay. In sha Allah ul aziz al hakem bafazl e aizdi 11 youm k andar andar har qisam k jado o sehar se nijat mil jay g. faqeer ki taraf se ijazat he.

8.     Zail k amal har qisam k safli jado k khatmy k liy be had mujarib o nafe he. Q k ye amal sheikh abu Muhammad marjai ko khud Hazoor (SAW) ne anaiat farmaya tha. Jiski ijazat faqeer k bazurgan ne anaiat ki hoi he. Amal hasab e zail he.
se aakhir tak aik martaba. Ayat  aik martaba, ayat  se aakhir tak, phir sorah e Falaq or sorah e al naas pori or phir   

In sabko bad is namaz fajar or qabal is taloo e aaftab bawazo halat mein kisi cheeni ki tashtari par shehad or gulab se likhein or is tashtari ko pani se dho kar is pani ko nihar mon  rahy na sehar baqi keh kar pi lain. 7 se 11 roz tak is amal se har qisam ka safli ilam waghaira ka asar batil hojata he, or insan tandrust o tawana hona shoro hojata he or bil aakhir sehat e kamla hasil kar leta he.



kala jadu ka tor taweez se | aweezat-taveez jadoo ka tor:


        Jadoo, toany, sehar, nazzar bandi or safli ilam k tor k liy zail ka amal byhad nafe or akseer he or faqeer ka by had mujarib he, is maqsad k liy bad is namaz e fajar bawazo halat mein safaid tashtari cheeni par shehad or zafran o gulab se zail ka naqash banain. 

     Or aik adad naqash safaid kaghaz par zafran or gulab se banain, or dono bar sorah e char Qul 11,11 martaba darod e Qurani 21 martaba parh kar dam karain, kaghaz wala naqash khushbo laga kar mom jama karain or usko galy main dal len, ya sedhy bazo par bandh len. Galy mein dalny wala naqash taloo e aftab se aik ghanta k andar andar pehna dein, or tashtari waly naqash ko pani se dho kar pani ko din mein ali ul subeh nahar mon, bad namaz e asar or bad namaz e isha 3 martaba 5,5 ghont pi lein, peety waqat darod o qurani ka 3 martaba parhna zarori he. Insha Allah Tallah 21 roz k andar andar har qisam k jado toany se mukamal nijat mil jay g.

Darod e Qurani :
Bad iz shafa o sehat tandrustagi 4 rakat namaz nafal shukrana barga he aizdi mein paish kar dein or hasab e tofeeq niaz Aaqay e do jahan (SAW) bachon mein taqseem kar dein.



kala jadu tone ka ilaj | kala jadu ka tor in hindi


       Sehar o kala jadu k tor karny k liy baroz itwar sharaf e shamas mein bawazo halat mein safaid kaghaz par zafran o gulab se sorah e muzamil shareef mukamal tehreer karen or us k girda gird ayat al kursi or sorah e fatiha bhi likhain or nechy darood pak tehreer karen.

     Aik botal mein pani ly kar is naqash ko dal dein or is mein se pani 5 ghont rozana subeh nehar mon darod pak 5 martaba parhty hoy or rat ko soty waqat 5 martaba yehi darood pak parhty hoy pi lein, or chalo bhar pani ly kar apny chehry or seeny or garden or kano k andar lagain.


     Is botal ka pani hafta bhar istamal karain, agali itwar ko phir taza naqash bna lein. Or usy hafta bhar istamal karain. In sha Allah 3 martaba k musalsal amal se har qisam k jado , safli jado or safli ilam waghaira se nijat mil jay g. (ijazat he) . Darod Pak ye he:yani namaz wala durood.


        Is maqasad k liy cheeni ki saaf tashtari ly kar is par shehad or zafran se zail ki ayat mubarika bad iz namaz e fajar likhain. Or phir isko qadry ghee se saf kar lain, or ye ghee mashoor ko chita dein. In sha Allah 11 roz mein jado o sehar ka khatima hojay ga.

Is baab me kala jadu ka tor aur kala jadu ka tor quran se is ke ilawa kala jadu ka ilaj aur kala jadu ka tor taweez aur wazifa se bayan ker dia gia ha.



2 comments: