Thursday 22 June 2017

kala jadu ki is aqsam

kala Jadu ki Iqsam:Types of kala jadu


kala jadu ko do qismoon mein taqseem kia gea he, aik qisam takhyyali he jiska daromadar shoobada bazi or hath ki safai he, dosri qisam wo he mein filhaqeqat mard o zan mein judai dalna or logo ko preshan karna he. 

Mahreen e fun jado ne isko do shakhoon mein taqseem kia he, aik sehar bilmisal or dosri sehar lamsi, in dono ka taluq tasalsal kheal se he, aik mein mumasil kheal pay jaty hein or dosri mein marbot o mutsil khialat. Pehli qisam ka taluq sehar bilmisal se he or dosri ka taluq sehar lamas se he. 



Sehar bilmasal mein amali iqdam or natijy mein mumasilat pai jati he, jesa k aik aam kahawat mash’hor he, kali entain kaly road, Allah mian meen barsa zor o zor , ye aik sehr e bilmasal ki amali shakal he. Or is qisam mein kisi bhi shay k mumasil se hi jadoo toany ka sahara lia jata he, jesy kisi ko zehni takleef puhnchany k liy jado toany mein soian c chubh rahi hein waghaira waghaira.


1.Isi silsly mein putaly or gudy waghaira istamal kia jaty hein jo jado k shikar k ham shakal or hum masal hoty hein.


2.Aor is zaman mein ye dastor aam he jis se aam jadoo mein kam lia jata he istarah baaz mamlat mein mukhtalif janwaron ki bheent bhi li jati he, gharz e k tarah tarah k aisy tariqon se kam lia jata he, jis mein bahmi mumaslit kargar hoti he.


3. jab k dosry tareeqy mein amoman hepnatisam jesa tariqa istamal kia jata he, or hathoon k lamas or baton se dosry ko kisi weham mein shaded had tak mulawas kar dia jata he, jis se chutkara pana is k liy namumkin hojata he.


4. ya phir insan k kapron ya kisi aaza ya murdoon ki rakh waghaira jisko urf e aam mein masan kaha jata he, is se kam lia jata he.

Kala jadu ki pechan| haqeeqat

 
Iqsam Jadoo Imam Razi (R.A) ki nazar mein:

1. Saat sitaroon ki pooja ka ilam ul sehar ( jaded dor mein isy ilam al barooj qarar dia gea he.


2. Ashab o adham or nafos qawia ka sehar (kaloo jadoo jisy kaha jata he).


3. Ghatia arwah or sheetan o jinnat k zaria sehar (safli amal wala jadoo).


4. Shobda bazi or or baraq raftari se aankhon ko musakhar karna hepnatisam.


5. Ajaib ul ashia se sehar (nazar bandi waghaira) .


6. Adwiati jadoo ( adwiat k zariay insano ko zehar waghaira dena ya masan dalna.


7. Chughal khori or nafrat bhara sehar ( hasad or nazar bad).


8. Mukhtalif daawon wala sehar ( mukhtalif jinnat, dio, pari, bhoot waghaira ko qabo kar k kam lena).




kala jadoo jinn aur arwah 

Baqol e fareezar “aik aisa jhoota fun jo science ki harami behan he” 

Chon k insan ne ilam o irfan k ibtadai madarij mein sakhat tareen khata khai he or usne ibtada mein ye jana k arwah kainat mein asar o nafooz rakhti hen or mamolat fitrat mein dakheel hoti hein.

Is ghalat aqeedy ne apna asar o rasookh is qadar barhaya k insaan ne har bat mein Allah Tallah ko chor kar arwah ki tarf rajoo karna shoroo kar dia, arwah aadmi ko khofzada karti rehtin, bhaly logo ki arwah to khair kuch na kehti, ulbata ashrar ki arwah byhad tang karti, rat k waqat chalti phirti or log inhy dekh k seham jaty.

or jadogar in bad arwah ko tabee kar k un se takhrebi kam karwata, ibtadai zamany mein aik or nazria jo parwan charha wo bhoot pareet ka tha, iski waja ye thi k aadmi k saath saath uska saya or akas bhi mojod hota he. Goya marny k bad yehi saya or akas bhoot pareet ki shakal mein muntaqal hojata he, or phir khwab mein bhi nazar aaty hein jo zindoo k hum shakal hein.


Kala Jadoo aur bhoot preat:


Bhoot ko aik tarah se rooh ka ghair taraqi yafta jad e amjad kaha jata he, is k janam leny se hi log us se darny or khof khany lagty hein, agarche kai itbar se ye zinda aadmi se mumasil hota he lekin us k tor tareeqy ghair na pasandeda hoty jis ki bina par logo ne in se hazar ha qisam ki batein mansoob kar k unko ghair marai rutba or shaan dy di.

or isitarah unko hazaron bad kam karny ka zimadar thehraya, or bad mein devi devtaon ka nam dy kar Allah k masal ya chota khuda kaha jany lga.

or inhein mukhtalif qowaton ka mazhar gardana gea. Chonke insan azal se tohamat ka shikar tha or tohamat ka zakhera is qadar wasee o areez he k jo kabi bhi khatam nahi ho sakta, or insani zehan iski behtreen parwarish gah he, or is se khudaoon or neem khudaon ka ghair mukhtatam silsila paida hoa or in se nimtany k liy jo tor insan ne dariafat kia uska nam kala jadoo rakh dia.Is baab me kala jadu aur kala jadu amil baba ke haqeeqat aur jinnat aur arwah ka baab mukmal ker dia gia ha.



1 comment:

  1. Kisi ko b koi masla ho jo b jesa b in sy contect kro ap hal ho ga 0305 seven nine two zero seven one eight

    ReplyDelete