taweezat amaliyat hazrat ke adab:
HADAYAAT BARAYE AMILEEN 1.Amal ka aghaaz karnay se pehlay kicy sheriny per Hazoor-e Ghos Paak aur apke 11 khasosy mureedein ke namoun ki fatiha parh kr bachun mein bantein aur apnay maqsad mein qamyabi ke liya dua krein 2.Aam tor per hazraat ka amal thursday ko hota hai lekin bazurg kehtay hain chand ki 11 date ko sb se ziada moatbar kaha gaya hai3.Ager ap maloom kr lein no chandi thursday koun c hai tu apko yaad rakhna chaea ke wednesday ko hi maghrib ki namaz ke baad thursday start ho jati hai ..kyun ke islam mein sooraj ke gharoob hotay hi agla din start hi jata hai 4.Yaad rahay ke in amaal ke liya tanhai boht zarori hai..ucy ke liya aik khaas tanhai wala room zarori hai..aur ye bh yaqeen kr lein apki ghair moujoodgi mein b koi wahan na ata ho5.Doran-e amaal kicy bh qisam ka ghosht ,kacha lehsan ya piyaaz na istamal karein ucke elava bevi se bh mubashrat na krein 6.Yaad rahay ke amal shuru karny se pehlay apnay kicy ustaad se ic kaam mein maharat rakhta ho ijazat talab kar lay 7.Yaad rahay jesa ke har amal ki muqara miyaad hua karti hai..kbhi waqt ziada bh lag sakta hai...ager pehlay chilay mein kamyabi na milay tu dosra bh krein aur tesra b krna para tu krna chaea bud dil na hun..har aik insan aik jesi qouwat ni rakhta kice mein qudrat nay ziada aur kicy mein kam rakhi hoti hai8.Badaal logoun ko ic mein ni ana chaea kyun ke in ke amaal mein in sb ki pabandi zarori hai..bevi ke pass janay ki bh pabandi hai9.Ager koi banda ye samjhta ke wo kamzoor dil hai wo in amaal ki taraf mat ayein kyun ke ye apke liya khatarnaaq hai.. ic liya sab soch kar ye krein 10.logoun ke liya in amaal mein khatraat hi khatraat khiyal kiya jatay hainn jo kicy b aseebi marz ka shikaar hun wo khiyal krein..aesay loug sehat mand bh ho jaein tb bh un per amal na krein11.Jin hazraat mein zakaat ki shart lazmi hai unko bagair zakaat nahi krna chaea..12.Ager aik chilla mein kamyabi hasil na ho tu amal ko tarak ni krna chaea ..balky 3 chilloun tak b amal krna paray tu zaror krein ..baaz auqaat amal mein dair bh hoti lekin hota zaror hai13.Ager maksoos room na ho tu amil ko chaea kicy gair abadi wali jaga pe chala jae jahan wo darust traeeqay se amal kr sakay ..aur ye bh deikh lein ke koi amal krtay apko deikh na raha ho warna apka sab amal zayya ho jae ga 14.Amal ke doraan boht ziada mushaahidaat ka samna krna par sakta hai aur ic mushahidaat ka ziker kicy se na krein kyun ke parda dari hi amliyaat ki sb se bari shart hai15.Chilla kashi ke dooran ziada logoun se milna julna mat rakhein boht zarori ho tu milein aur tanhai mein milein 16.Chillah kashi ke dooran amil ko chaea ke kicy bh haal mein kicy saail ko naqsh wagera likh kr na de..ager ko aseebi mareez ajae tu ucka bh elaaj mat kray warna nuqsan ho ga.17.Chillah kashi ke liya ager room muntakhib kr liya jae tu phir kicy sourat tabdeel na kiya jae warna chillah beqar jae ga ..icy tarah jo bh waqt amal krnay ke liya muntakhib krein ucki pabandi boht zarori hai kyun ke rohaniyat mein waqt ki pabandi boht zarori hai.ager waqt ki pabandi na ki jae ti rohaniyat ni milti.18.Chillah kashi ke doraan ager amil ka sir bhari ho jae aur kandhoun per lagay wazan hai aur demagh sun honay lagy tu samjh jaein apko kamyabi mil rahi hai darein mat.19.Chillah kashi amliyat ke doraan har bnday per kari nazar rakhni chaea..ager koi faqeer mangnay wala b ajae tu uc ke sath b behas ni krni chea ager mumkin ho tu kuch de kr rukhsat kr dein.20.Chillah kashi ke doran baaz auqat yun hota hai ke amil se kaha jata hai hum zaror hazir hun gy so amal wegera band kr dein.Yaad rakhein amal pura kiya bagair kicy haal mein amal ko rokna khatray se kam ni hai aur ager aesa koi waqia ho jae tu un ki batoun mein na ayein akser auqat amil unki batoun mein aa ker apna zehni twazun kho detay hain.21.Chillah kashi ya amliyat hub aesay ghar mein na krein jahan koi asseb zada ho ya ghar mein saya ho warna sb ulta par jae ga.22.Chillah kashi aesay ghar mein b na krein jahan kicy ko qatal ya khudkushi hui ho warna nakami ho gi.
0 comments:
Post a Comment